*🛀🏼WUZU ME PAANI ZIYADAH KHARCH KARNI KI 4 SURAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1079 ⭕
Wuzu me teen martabah se ziyadah a'aza dhona kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Wuzu me a'azaa ko teen martabah se ziyadah dhone ki chand surten hain.
1⃣.Agar teen se ziyadah is e'atekad se dho raha hai ke yah sawab ya sunnat hai to makruhe tahreemi (haraam ke qarib) hai.
2⃣.Agar yeh e'atikad nahin magar bila wajah kar raha hai to bekaar hone ki vajah se makruhe tanzeehi hai.
3⃣.Agar kabhi shak ko door karne aur dil ke itminaan ke khatir teen se ziyadah baar dho liya to koi karaahat nahin.
4⃣.Albatta masjid aur madarsah ke vaqaf paani se teen baar se ziyadah dhona haraam (gunahe kabeerah) hai.
(aajkal masjid ke paani se khususan pair ko teen martaba se ziyadah dhoya jaata hai, koi shumar hi nahin bas paani daalte hi jaate hain.
lihaza isse bachne ka ehtimaam kare kyun ke hazrat mufti Mahmood hasan gangohee رحمت اللہ علیہ farmate the ke wuzu me paani fuzool kharch karne se namaz ka khushu'a (dhiyan khatm ho jata hai)
📗AHSANUL FATAWA- 2/15, IBARAT KI ASAANI KE SAATH
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment