Monday, July 17, 2017

ULAMAA E DEWBAND PAR BARELVIYON KI TUHMATON KE JAWABAT

*ULAMAA E DEWBAND PAR BARELVIYON KI TUHMATON KE JAWABAT*
 
⭕AAJ KA SAWAL NO.1075 ⭕

Jaisa Ilm E Gaib Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ko Hai Aisa Ilm E Gaib To Har Jaanwar Neez Bachche Aur Paagal Ko bhi Haasil Hai. Isme Sarkaar Ki Kya Takhsis Hai?

kya yeh baat Hazrat maulana Ashraf Ali thanvi ki kitaab Hifzul imaan me likhi hai ?

🅾Al-Jawaab🅾

Yeh Ibaarat same (jaise batayi gayi waisi) Hifz Ul Imaan Me Nahin Hai. Hifz Ul Imaan Ki Ibaarat Yeh Hai.👇🏻

“Phir Yeh Ke Aap Ki Zaat Par Ilm Gaib Ka Hukm Kiya Jaana Agar Ba-Qaul E Zail Sahih Ho To Daryaaft Talab Amr (baat) Yeh Hai Ke Is ilm E Gaib Se Muraad Ba'az ilm E Gaib Hai Ya Kul Gaib?

Agar Ba'az Uloom E Gaibiyah Muraad Hai To Isme Huzurصلی اللہ علیہ وسلم Ki Kya Takhsis Hai, Aisa Ilm E Gaib To Zaid ,Balke Har Sabhi (bachcha)Wa Majnoon Balke Jame'a (tamaam) Haiwaanaat Wa Bahaaim (chaupaye) Ke Liye Bhi Hassil Hai.

(Hifz Ul Imaan : 18)

Scan Page :

Khiyaanat : Yahaan Par Ahle Baatil Ne Yeh Alfaaz
“Jaisa Ilm E Gaib Huzur صلی اللہ علیہ وسلم Ko Hai“
Apni Taraf Se Likh Kar Maulana Ashraf Ali Thanwi Sahaab رحمت اللّٰہ علیہ Ki Ibaarat Ke Sath Jod Diya Hai Aur Apne Matlab Ke Mutaabiq Ibaarat Banaali Hai Aur Aiteraaz Kar diya Hai.

Maulana Ashraf Ali Thanwi رحمت اللّٰہ علیہ Ka Bilkul Saaf Matlab Hai.Isme Huzurصلی اللہ علیہ وسلم Ki Tauheen bilkul Nahin Hai. Na'uzbillah Koi Musalmaan Apne Paigambar Ki Tauheen Nahin Kar sakta. jab adnaa musalman aise bolne ko buraa samajhta hai to itne badey usey likhne ko kaise buraa Nahin samjhenge !?!?!

Koi Badnaam Hi Karna Chahta Hai To Iska Koi Ilaaj Nahin hai, Iska Faisla Qiyaamat Me Hoga.

Is Ibaarat Ka Aasaan Jawaab Bhi Tehreer Kiya Jaa Raha Hai.

Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh. Se Sawaal Kiya Gaya Tha Ke Huzur صلی اللہ علیہ وسلم Ko Aalim Ul Gaib Kahaa Jaaye Ya Nahin?

Maulana Ke Jawaab Ka Haasil Yeh Hai Ke Huzure Akram صلی اللہ علیہ وسلم Ko Allah Paak Ne itne Uloom ataa Farmaaye Hain Ke Kisi Ko Utne Uloom Ataa Nahin Kiye Gaye, Lekin Aalim Ul Gaib (teeno zamaane ka kul ilm) Sirf Khuda Ki Zaat ko Hai Isliye Huzur صلی اللہ علیہ وسلم Ko Aalim Ul Gaib Na Kahaa Jaayega.

Iske Ba'ad Tehreer Farmaaya Hai Ke Huzur صلی اللہ علیہ وسلم Ko Aalim Ul Gaib Agar Is Wajah Se Kahaa Jaaye Ke Gaib Ke Tamaam Uloom Aap Ko Ataa Kar diye Gaye Hain, To Yeh Waqiyah Ke Khilaaf Hai. Bahut Si Aisi Baatein Hai Jo Huzurصلی اللہ علیہ وسلم Ko Nahin Bataayi Gayi Aur Na Bataane Me Bahutsi Hikmaten Hai.

(Jaisa ke qayamat konsi tareekh aur konse saal me aayegi?

gosht me zahar mila hona wagairah )

Aur Agar Is Wajah Se Aalim Ul Gaib Kahaa Jaaye Ke Ba'az Baaten Maloom Hain, chahe Ba'az Baaten Itni Hi Ho Jitni Kisi Ko Nahin Ma'alum, To Ba'az Baatein Maloom Hone Me Huzurصلی اللہ علیہ وسلم Ki Takhsis (khususiyat) Baaqi Nahin Rehti Kyunke Ba'az Baatein To Kuchh Na Kuchh Bachcho Ko Aur Jaanwaro Tak Ko Ma'alum Hoti Hain.
(zalzalah ke aane ki ittilaa wagairah)
Jinko Aqal Nahin Hai. Un Tak Ko Ma'alum Ho jaati Hain, To Kya Un Sab Ko Aalim Ul Gaib Kahaa Jaayega ?

Saail ( Sawaal Karne Waalo) Ko Samjhane Ke Liye Yeh Misaale Hai,

Nauzubillah Kahin Bhi Yeh Baat Nahin Likhi Hai Ke Jaisa Ilm E Gaib Huzur صلی اللہ علیہ وسلم Ko hai Aisa Ilm E Gaib To Zaid ‘Amr’ Wa Bakr Balke Har Sabhi (Bachche) Wa Majnoon Ko Hai,

Yeh Ibaarat Ahle Baatil Ne Apni Taraf Se Likhi Hai......

Barelvi ke ghar ka bhi jaiza lelo..

...ahmad raza sahib kehte he ki hum nabi صلی اللہ علیہ وسلم ke liye kulli gaib Nahin maante balki ba'az hi gaib milna mante hain....

📘ad dolatul makiya s 28 ..khalisul atqad safa 23..

..aage likhte he...
Hujur صلی اللہ علیہ وسلم ka ilm Allah ke ilm ke baraabar Nahin...

📘tamhide iman safa 34...

isse saabit huva ki ahmad raza sahab ke nazdik bhi kulli gaib aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ko haasil na tha......

ahmad raza sahab ka gadha bhi ilme gaib rakhta he...

📘al malfuz 4 hissa s 342.

isse ma'alum huva ki gaib ki ba'az baate janvaro ko bhi bataayi jaati hain...

jaise khan sahab ka gadha bhi gaib jaanta hai....

Barelvi aalim ahmad yar khan naeemi likhte hai....

chil aandhi ko aur mendak baarish ko pehle hi ma'alum kar lete hain .yeh sifat (ba'az gaib) ki jaanwaro me bhi paayi jati hai...

📘tafsire naeemi j 1 s 569...

isse saabit huva ki har makhluq ko gaib ki ba'az bate bataayi jaati hain...

..tab to yeh saari makhlooq bhi alimul gaib ho gai...
baqol barelviyon ke...

to bataao fir kya nabi صلی اللہ علیہ وسلم ki fazilat baaqi rahi....
jab barelviyon ke nazdik jaanwar bhi gaib jaanta hai...

khud pyare aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ne bhi yeh farmaya ki me gaib Nahin jaanta aur agar me gaib ko jaanta to bahut si bhalai haasil kar leta aur koi nuksaan mujhe na pahunchta.

📗(Parah 9 surah e aaraf aayat 188)
safrhe muakif jild 3 safa 175...

yeh lo ek taraf tum kehte ho ki Huzur صلی اللہ علیہ وسلم gaib jante hai aur dusre taraf khan sahab barelwi ka gadha bhi gaib jaanta hai aur mufti ahmad yaar khan naemi ke nazdik mendak aur chil bhi gaib hasil ker leti hai.....

faislah tum karo, yeh aqidah thanvi رحمت اللّٰہ علیہ ne tumhara bayaan kiya ki tum ba'az gaib ki vajah se huzur صلی اللہ علیہ وسلم ko aalimul gaib kahaa hai.

✏mufti Imran ismail memon surat gujrat india

🔶AKABIREENE ULAMAA E DEWBAND PAR JITNE BHI GUSTAKHIYON KE ILZAMAAT LAGAYE GAYE UN TAMAAM KE JAWABAT KO JANNE KE LIYE SIRF 5 MB KI YE KITAB ZAROOR DOWNLOD KAREN

https://besturdubooks.files.wordpress.com/2016/04/ibaraat-e-akabir.jpg

Urdu parhna na aata ho to un tuhmaton ki haqeeqat janne ye video dekhen👇🏼

https://youtu.be/4apUWX18A1E

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...