Friday, July 7, 2017

MAKROOZ (KARZDAAR) KE HAJJ KA HUKM

*MAKROOZ (KARZDAAR) KE HAJJ KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1065⭕

🔴SAWAL🔴

1. Qarz-daar ka hajj ke liye jane ka kya hukm hai..?

Aur

2. Qarz-daar ka nafli hajj ke liye jaane ka kya hukm hai..?

Aur

3. Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..?

🔵AL JAWABAAT🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1. Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur woh baa-khushi hajj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur woh ijazat de den to woh shakhs hajj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko taakid kar de ke agar meri mout ho jaye aur mere  zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunjaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf karaa dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che farizah adaa ho jayega,

Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunjaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,

intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baaqi rakhkar wahaan lambi chodi khareedi karne ki ijazat qarz khaah ne nahin dee hoti hai. uski ijazat alag len)

Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai.

2. Jo shakhs farz hajj adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar yeh hai ke qarza adaa karey,(is baare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil gareebee ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.

[fatawa raheemiyah 8/282,

ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191]

3. Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahin, aise qarzon ki wajah se hajj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahin kiya jayega.

📕[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.]

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat,
http://www.aajkasawal.page.tl

*Download Our Android App*
Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...