Sunday, July 2, 2017

PEHLE HAJ YA SHADI

*PEHLE HAJ YA SHADI*

🔴AAJ KA SAWAL NO. 1060🔴

haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..? 

🔵JAWAB🔵

agar kisi ke paas itna maal ho ke, wo haj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aise shakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zrooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye to haj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.

📚fatawa. darul uloom-4/518

📚fatawa mahmudiyah3/178

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...