*PEHLE HAJ KARE YA UMRAH*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1064⭕
Taqat ke ba wajood haj se pehle umrah karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Umra haj ka badal nahi he, jis shakhs par haj farz ho uske liye zarooree he ke wo haj kare,
jis shakhs ko haj ke dino me baitullah tak pahunchne aur haj tak waha rehne ki taqat (kharch,intizam,ijazat) ho us per haj farz ho jata he, isliye ese shakhs ko Jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, haj par jana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood haj na karna bahut galat baat he.
Aapke Masail aur unka Hal,
Jild- 4, Safa no 38
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲http://www.aajkasawal.page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment