Saturday, July 29, 2017

BAAL KATWANE KI JAIZ AUR NA-JAIZ SURATEN

*BAAL KATWANE KI JAIZ AUR NA-JAIZ SURATEN*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1087⭕

Baal katwane ki jaiz aur na-jaiz suraten kon kon si hain?
Aur us ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Baal rakhne ki jaiz suraten 3 hai.

1.Pate (zulfel) rakhna.
2.Halaq poore Sar ke baal mundwana
3.poore Sar ke baalon ko barabar rakhna.

In sab me afzal pehli surat hai. Fir dusri surat Ka darajah hai, aakhri surat ki sirf gunjaish hai.

Bal ki na-jaiz surat do hai.

1.Qazaa ya'ani sar ke ba'az hissah ke baal mundwana ba'az hissah ke chhod dena
Ya ba'az ziyadah tarashna-kaatna ba'az kam. aise baalon ko angrezi baal bhi kehte hai.

2.aise baal rakhna jo kuffaar, yahudo nasaara, fussaq wa fujjar(gair muslim,bad-deen, khullam khulla gunah karne wale jaise ke hero,actor) ka shiaar (un ki style aur fashion) ho.

yeh dono surat makruh e tahreemi hai.  yaad rahe makruh e tahreemi aur haraam dono me sirf aqeedah ke aetibar de farq hai warna amal ke aetibar se dono barabar hain, dono gunah e kabeerah hain aur dono par *AZAAB* barabar hai.

(Aaj hamare muaashare me aksar navjawan in dono qismon ke na-jaiz baal katwane me mubtalah hain aise baal katwana aisa sakht gunah hai jo har ghadi har lamha chobiso (24) ghante hamare saath chimta-chipka rehta hai yeh gunah kabhi alag nahin hota namaz, rozah, me hai to bhi gunehgar, so raha hai to bhi gunehgar.
Aur ziyadah afsos us waqt hota hai jab log apne na-balig bachcho ke baal jis ki koi farmaish nahin hoti is ke baal bhi aise hi katwate hain, yaad rahe agarche un ka naama e amal nahin khula hai lekin maa bap ko un ke aise baal katwakar galat tarbiyat aur na-jaiz shauk paida karwane ka gunah hoga.)

📗AHSANUL FATAWA. 79 se 86 KA KHULASA M`A IZAFA

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...