Thursday, May 14, 2020

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕
Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 

🔵JAWAB🔵

Aetikaf niche dee hui baton se makrooh hota hai. 
            
1⃣- Bila zarurat baate karna,

2⃣- Aitkaaf ki haalat me fahash ya bekaar aur juthe qisse kahaniya ya islam ke khilaf mazaamin per mushtmil literatures, Tasveer wale akhbaraat wa Rasail ya akhbaar ki jhooti khabre masjid me lana, rakhna, padhna, sunna,

3⃣- Zarurat se ziyadah saaman masjid me laakar bikher dena,

4⃣- Masjid me bijli (electricity, power), gas aur paani vagera ka beza {Fuzool} isteamal karna,

5⃣- Masjid me Cigarette, Bidi v Huqqa peena,

6⃣- Ujrat (mazdoiri) ke saath hajaamat banana aur banwana,

lekin agar kisi ko hajaamat ki zarurat hai aur bager ujrat ke banaane wala mil na raha ho to aisi soorat akhtyar ki ja sakti hai ke Hajamat banane wala masjid se bahar rahe aur Muatakif masjid ke andar.

📘MASAILE AETIKAF SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم بالصواب 

✒ Mufti Imran Ismail Memon Hanfi Chisti

Ustaze Darul Uloom, Rampura, Surat, Gujrat, India 

📲💻 https://aajkasawal.page.tl/ROZA_RAMZAN.htm

http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

Wednesday, May 13, 2020

ERTUGRUL GAZI (drama serial) DEKHNE KA HUKM

*ERTUGRUL GAZI (drama serial) DEKHNE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2100⭕

Aaj kal islami Turkey serial Ertugrul gazi bahut Dekha ja Raha hai, achchhe achchhe deendar log bhi Mubarak mahine me bhi dekh rahe hai, un Ka kehna ye hai ke Bollywood ki filmon se dekhne se behtar ye hai ke ham islami drama Dekhe, is se Islam ke liye qurbani dene Ka jazba, bahaduri, dushmano se ladne Ka saleeqa paida hota hai, is drama ko tayyab urdugan ki himayat hasil hai.
to kya ye islami drama dekh sakte hai ?
Shareeat ki roshni me samjhaye.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما 

Is drame ke bare me dekhne walon se maloom kiya to is me chand kharabi hai.

1 .is me music bajta rehta hai, music sunna haraam hai, is se dil me nifaq paida hota hai.

2. gair mahram aurton ko beparda dikhaya gaya hai, bad-nigahi se ruhaaniyat-dil Ka Noor, rozah ka sawab khatm ho jana wagairah Kai nuqsan hai. is Ka manaa Hona quraan hadees me Saaf mavjood hai.

3. Bila zaroorat tasweer Ka istemal bhi mana hai aksar muftiyane kiram ke nazdeek digital tasweer bhi haraam hai.

4. ye 150 hisse Ka lamba drama hai, is me waqt ko zayea karna hai, qayamat ke din Zindagi Yani us ke awqat Kahan guzare us Ka bhi jawab dena hai.

5. is ki mashguli se aadmi tilawat, zikr, namaz, bivi Bachche ke huqooq aur zaroori kaamon se door ho jata hai, ya un me kotahi karta hai. kyun ke dekhne wala jab tak darma Ka part khatm na ho usey chhodne aksar taiyyar Nahi hota.

6. is me kuchh romantic-ishq ki bate bhi hai,aurat gair mahram mard ke sath kheme me tanhai me baten karti hai aesa dekhne se na-jaiz talluqat Ka jazba paida hota hai.

7. in haraam cheezon (gunahon) se mile huwe drame ko jaiz ya halqa samjhna kufr tak pahoncha deta hai, tauba ki tawfeeq Nahi hoti, wagairah aur bhi kai kharabiyan hai.
(msg zayada lamba na ho Jaye isliye chhod deta hun.)

na jaiz cheezon se Jo faidah hasil hota hai woh sharab ki tarah waqti josh hota hai, Paani ke bulbule ki Tarah Der tak Nahi rehta, jis Tarah dekhne se Imani jazbat waqti taur par paida hote hai isee Tarah be Pardah khubsurat aurton ko dekhkar mardon me aur khubsurat mardon ko dekhkar aurton me shahwat ke jazbat paida hote hai.

is se agar dusre faidah hasil hote ho to bhi is Ka faidah Kam aur dunya aakhirat Ka nuqsan zayada hai, ek haraam cheez ki wajha se bhi jaiz cheez na jaiz ho jati hai, balke haram tak pahonchne Ka zariya woh bhi fiqah ke qayde se mana ho jata hai. 

masalan aurat ki aawaz ko pardah banaya, bila zaroorat Sunna mana hai, kyun ke woh shahwat ke paida hone aur us ki taraf milan Ka zariya hai, peshab ke ek qatre se puri  balti-dol napak ho jati hai. 
haraam paison se masjid, madrasah banana jaiz nahi ho jata, *isee Tarah achchhi niyyat aur kuchh faidon se shareeat ke usool ke khilaf serial jaiz Nahi ho jati.*

Islami jazbat, bahaduri, dushman se hifazat ke tareeqe wagairah paida Karne ke liye is unwan par bayanat, kitabe, islami tareekh balke Ertugrul ki nowel bhi net par mavjood hai, ye faidah in jaiz cheezon se hasil kiye ja sakta hai. agar us me interest na ho, use sunte aur padhte na ho, to pata chala ke kuchh sikhna aur hasil karna maqsood Nahi, Maqsad sirf khel tamasha dekhna aur galat tareeqe se tafreehe tab'a- mind fresh karna hai. lihaza kuchh hasil Karne ki daleel bekar ho gayi.

Taiyyab urdugan woh khud chehre aur libas se shareeat ke paband Nahi hai, lekin akhlaq, khidmat aur jazbat islami hai lekin in ki himayat-sport ye koi Sharee daleel Nahi hai, woh bhi insan hai un se bhi chuk ho Sakti hai, shar'ee daleel quraan, hadees sahaba ya ulama e haq Ka ijmaa aur quraan hadees ke mutabiq qayas-aql lagana hai.

Agar is me aur faidah bhi maan bhi liya Jaye to is Ka nuqsan zayada hai, sharab aur juwe ke haraam hone ki wajha quraan me yahi batai ke usKa nuqsan-gunah faide se bada hai.

📗surah e baqarah aayat 219.

Zahiri Sabab ke muqabale me ruhaanee asbaab ikhtiyar karna asal hai sahaba radeeallahu anhum aur Pados ke mulk ki super power taqaton ke muqabale me gaibi madad Allah ta'ala ke talluq hee se aayi thi Jo gunah se Bache bagair hargiz hasil Nahi ho sakti hai.

*Upar zikr ki hui wujoohat ki wajha se ye drama serial dekhna jaiz Nahi.*

*NOTE* Masajid, madrasah, dawato tablig, Harmain sharifain sab bandh hai, Jo Allah ke naraz hone ki daleel hai, aur ham gunah Kar ke Allah ko mazeed naraz Karne ki himmat kaise karte hai ! aesa karenge to lock down kab khulega ?.
mubarak mahine Ka to aehtamam kare, is me Allah ta'ala ko tauba Kar ke razi kare.

📑ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND AUR FATAWA BINORIA SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 
19 RAMZANUL MUBARAK 1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

*Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai*

📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...