Wednesday, August 31, 2016

Qurbani na karne par kya waeed hai ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.768⭕

Qurbani na karne par kya waeed hai ?

🔵Jawab🔵

Hazrat Abu Hurairah rd. se riwayat he ke Huzur صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya Jis ke paas gunjaish ho (us par qurbani wajib ho) aur us ke bawajud wo qurbani na karey woh hamari eid-gaqh ke qarib bhi na aaye.

(yani us se nafrat aur narazgi ka izhar hai eidgaah ke andar to kya aane ke laiq hota eidgaah ke qareeb bhi na fatke !
us ka kya munh hai ke eid manane ke liye aaye aur Allah ke bandon ki khushi me shareek ho! )

📚bayhaqi
Masaile qurbani 31

📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, August 30, 2016

QURBANI KI FAZEELAT

QURBANI KI FAZEELAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.767 ⭕

Qurbani karne ki kya fazeelat he ?

🔵Jawab 🔵

Hazrat aaisha ارضی اللہ عنھا se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya ke zil hijjah ki 10 tarikh yani eidul azha ke din insan ka koi amal Allah taala ko qurbani se zyada mahbub nahi he aur qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo aur baalo our khuro ke sath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle Allah taala ki Raza aur maqbuliyat ke maqam per puhonch jata he, Pas ae khuda ke bando dil ki puri khushi se qurbaniyan kiya karo.
Dusri riwayat me hai ke qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki milegi sahabah radeeallahu anhum ne arz kiya ya rasoolallah uun ki bhi yahi fazeelat hai.(uun barik hone ki wajha se bahut hota hai) Huzoor ﷺ ne farmaya han har un ke bal ke badle me bhi ek neki hai.(mafhume hadees)
Janwar ke badan par hazaron aur lakhon bal hote hai.deendari ki baat ye hai ke itne bade sawab ki lalach me jis par qurbani wajib nahi hai us ko bhi kar deni chahiye ye din chale jayenge to itna bada sawab kaise hasil hoga?

📗Tirmizi sharif wa ibne majah bahawala masaile qurbani 32 bifarqi yasir

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, August 29, 2016

EK KI TARAF SE QURBANI SAB KI TARAF SE NAHI HOTI

EK KI TARAF SE QURBANI SAB KI TARAF SE NAHI HOTI

⭕AAJ KA SAWAL NO.766⭕

Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki taraf se qurbani adaa ho jayegi yaa nahi ? 

🔵JAWAB🔵

Jis ke zimme qurbani wajib hai wo apni taraf se qurbani kare, aur Ye samajhna ke ek bakra qurbani kar dene se purey ghar ka wajib adaa ho jayega ye sahih nahi.jis jis ke zimme qurbani wajib hogi us ko apni alag qurbani karna zarooree hoga.

📚Fatawa mahmudiya bi farq 17/312)

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, August 28, 2016

QURBANI KE BADLE SADAQAH

QURBANI KE BADLE SADAQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.765⭕

Agar koi Qurbani na kare uske badale qimat sadaqah kar de to durust hai ? Ya Qurbani hi zaruri hai ?

🔵JAWAB🔵

Qurbani ke dino me (Qurbani wajib ho to) Qurbani hi zaruri hai, qimat  ka sadqah kaafi nahin,bazon ko janwar lane ,katne aur taqsim ka bojh padta hai to in kamon par bhi bahut ajro sawab diya jata hai agar ye cheez na karni ho to chhote janwar ki qeemat dekar us ki qurbani karne ka kisi ko bhi wakeel-zimmedar bana sakte hai ya bade janwar me hissa le sakte hai lekeen qurbani hi karni padegi un paison se kisi ki madad karne se qurbani ka wajib zimme se na utrega aur gunehgar hoga.
Haan agar kisi wajah se un dino me Qurbani nahin kar paaya aur din guzar gaye  to phir qimat ka sadaqah zaruri hai.

📚Fatawa mahmudiya jadid 17/310 se makhooz)

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, August 27, 2016

BERUNE MULK (FOREIGN) KI QURBANI INDIA ME

BERUNE MULK (FOREIGN) KI QURBANI INDIA ME

⭕AAJ KA SAWAL NO.764 ⭕

A.
Hamare yahaan U.K. me 10 zil hijjah ya'ani eid ka din ho aur hamen apni qurbani india me usee din karni ho halan ke us din india me 9 zilhijjah ho to hamari qurbani india me us din ho sakti hai ya nahin?

B.
agar makkah me 13 zil hijjah ho ya'ani Qurbani ka waqt nikal gaya ho aur india me 12 zil hijjah ho ya'ani Qurbani ka waqt baaki ho to is surat me agar koi haji apni Qurbani india me karaye to sahih hogi ya nahin?

🔵JAWAB🔵

A.
jabtak ke india me
Qurbani ke din shuru'a na ho yahan dusre mulk walon ki qurbani sahih nahin hai. kyun ke Qurbani sahih hone ke liye malik aur janwar dono ka fil jumlah aetibar hai ya'ani muakkil ya'ani Qurbani karvane wale par Qurbani ka wujoob aana chahiye aur janwar jahan hai wahan Qurbani ka waqt hona chahiye. puchhi hui surat me UK wala jo Qurbani karva raha hai us ke zimme to Qurbani ka wujoob aa gaya hai lekin india me jahan janwar hai wahan Qurbani ka waqt nahin aaya hai lihaza UK wale ki Qurbani india me 9 zihijjah ko ek din pehle nahin ho sakti hai Qurbani sahih hone ke liye india me bhi 10 zihijjah hona zaruri hai.

B.
mazkoorah surat me Qurbani sahih hai us ki pehli wajah
Makkah me 13 zil hijjah hone ki surat me sababe wujoob ya'ani jiske zimme Qurbani ho uska Qurbani ke dinon me Qurbani par qadir hona yeh us haji ke haq me pehle hi se paya gaya aur dusri shart wujoobe adaa ya'ani Qurbani ke waqt ka maujud hona. Janwar india me maujud hai yeh shart bhi yahan pai gayi lihaza bila shak woh haji apni Qurbani ka vakil kisi ko india me bana de to 12 zil hijjah ko bhi us ki Qurbani sahih hai.
Dusri wajah agar woh Qurbani ka vakil banane wala khud 13 zilhijjah ko makkah se safar kar ke india aata aur yahan12 zilhijjah ko Qurbani karta to durust tha to wahan rehkar vakil banaye to batarike awla hoga

📗KITABUN NAWAZIL 14/553 SE 558 KA KHULASAH

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, August 26, 2016

QURBANI KE JANWAR KA INTEZAM KISI DUSRE SHAHER YA GAANV ME KARNA

QURBANI KE JANWAR KA INTEZAM KISI DUSRE SHAHER YA GAANV ME KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.763⭕

1.
Agar kisi ne apni qurbani ka intizam dusre shaher me rakha he to *kahan ki eid* ka aetebar hoga ?

2.
Kisi ne apna janwar gaav (village) me  bheja jahaan eid ki namaz nahi hoti, to *kab qurbani* karni hogi ?

🔵JAWAB🔵

1.
Agar dusre shaher me qurbani ka intizam kiya hai to, jahaan janwar hai usi shaher ki eid ke baad qurbani sahih hogi, Chaahe us malik ke yaha eid ki na huwi ho.

2.
Kisi shaher ke aadmi ne apna janwar dehaat me rakha ho to eid ke din subah sadiq se hi qurbani durust hai, Eid ki namaz ka intizar nahi kiya jayega.

📚Mustafad  kitabul masail 2/217,218

Not:berune mulk walon ka masla kal bheja jayega.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

KHAADIM YA PUJAARI SE JAANWAR KHARIDNA

KHAADIM YA PUJAARI SE JAANWAR KHARIDNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 762⭕

Jo jaanwar ghee, nariyal, peer, khawaja Ya kisi ahle qabr, ya murti aur boot ke naam par chadhaya gayaa ho, us jaanwar ko khaadim ya pujari se kharidna kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

Jo jaanwar Allah ke alawah ko khush karne, unse qareebi hasil karne ke liye kaat diya gayaa, ya koi cheez is niyyat  se chadha di ho, woh bilkul murdar ke hukm me hai, uska kharidna, bechna ya zabah Kar ke khana haraam hai.

📚FATAWA AZEEZI MASAILE HAJ ME
SAFA 507
DURRE MUKHTAR 2/439
KITABUS SOM
BA HAWALA FATAWA MAHMODIYAH

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, August 23, 2016

➡SASTI QIMAT SE DUSRI JAGAH QURBANI KARVANA

➡SASTI QIMAT SE DUSRI JAGAH QURBANI KARVANA

➡DIKHANE KE LIYE MAHENGA JAANWAR KHARIDNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 761⭕

1⃣.Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani karva sakte hai ?

2⃣.Dikhave ke liye mahenge jaanwar kharidna kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

1⃣.Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani karvane me koi haraj nahin hai, Lekin maali ibadat me jitna ziyadah rupya kharch kiya jata he sawab utna hi ziyadah milta hai,

 
2⃣.Ba'az log dikhave ke liye mahenge jaanwar kharidte hain aur uska charcha karte hain, to iske saath sawab ki ummid rakhna dhoka hai, Allah ke yahan wohi amal maqbul hai jo khaalis Allah ke liye kiya jaaye.

📚Mustafad kitabul masail 2/219

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, August 22, 2016

QURBANI KE DINO ME GAREEB YA MAALDAAR HONA

QURBANI KE DINO ME GAREEB YA MAALDAAR HONA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 760⭕

1⃣.
Ek aadmi maaldaar tha, lekin qurbani ke din aane se pehle gareeb ho gaya, to kya us par qurbani wajib he ?

2⃣.
Ek aadmi gareeb tha, lekin qurbani ki dino me maaldaar ho gaya, to kya us par qurbani wajib he ?

🔵JAWAB🔵

1⃣.
Qurbani ke dino me gareeb ho gaya, yani sahibe nisab nahi raha, to is par qurbani wajib nahi.

2⃣.
Jo pehle faqeer tha,Qurbani ke dino me ya qurbani ke tisre din aakhri waqt me bhi maaldaar ho gaya, to us par qurbani wajib he.

📚Mustafad kitabul masail 2/222

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, August 21, 2016

QURBANI KE JANWAR KA MAR JANA YA KHO JANA

QURBANI KE JANWAR KA MAR JANA YA KHO JANA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 759⭕

1⃣.Maaldaar ne janwar kharida wo mar gaya to kya hukm he ?

2⃣.Garib ne janwar kharida wo mar gaya to kya hukm he ?

3⃣.Maaldaar aadmi ne qurbani ke liye janwar kharida our wo qurbani se pehle gum hogaya to kya hukm he ?

4⃣.Agar garib ne qurbani ke liye janwar kharida phir wo gum hogaya to kya hukm he ?

🔵JAWAB🔵

1⃣.Maaldaar ne janwar kharida wo mar gaya to us par dusra janwar kharidna our qurbani karna zaruri he.

2⃣.Garib ne janwar liya tha wo mar gaya to dusri qurbani karna zaruri nahi he.

3⃣.Maaldaar ne qurbani ke liye janwar kharida tha wo gum ho gaya to us ko dusre janwar ki qurbani karna zaruri he.

4⃣.Garib ne qurbani ka janwar kharida phir wo gum ho gaya to us par dusra janwar qurbani karna zaruri nahi. Us ki qurbani khatam ho gayi. Ab dusri karna zaruri nahi.

📚Kitabul masail 2/222,225
bahwala badaye ussanaye

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻📱
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye

http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, August 20, 2016

➡KOI GAREEB QURBANI KI NIYYAT SE JANWAR LAYE

🌿 Islamic GrouP 🌿:
➡KOI GAREEB QURBANI KI NIYYAT SE JANWAR LAYE

➡QURBANI KE LIYE LAYA HUWA JANWAR BADALNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 758⭕

1.
Koi garib qurbani ki niyyat se janwar kharid le to kya us par qurbani wajib ho jaati hai ?

2.
Qurbani ka janwar kharidne ke baad badal sakte hai yaa nahi ?

🔵JAWAB🔵

1.
JI haan, Garib agar qurbani ki niyyat se janwar kharide to us par qurbani wajib ho jaati he, aur usi mutayyan janwar ki qurbani lazim hoti hai.

2.
Agar wo maaldaar hai yani us par qurbani wajib thi to wo apna janwar badal sakta hai, kyun ke maaldaar ke mutayyan karne se janwar mutayyan nahi hota. Is liye wo badal sakta he. 

aur agar wo garib hai yani us par qurbani wajib nahi thi to us ke kharidne se wo janwar mutayyan ho gaya. Ab us ko badalne ki ijazat nahi he.

📚Mustafad kitabul masail 2/224,226

(Note: aaj ke sawal ke kisi bhi msg ko dusron tak forward karne ke waqt apna ya kisi ka mobile number aur group ka naam Na likhe)

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

HAAJATE ASLIYAH SE ZAEED SAAMAN

HAAJATE ASLIYAH SE ZAEED SAAMAN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 757⭕

Qurbani vajib hone ke liye hajate asliyyah se zaid saamaan ko hisab me shumar karna hai, to hajate asliyyah se zaid saaman kon kon se hai?

🔵JAWAB🔵

1. tin jodi se zaid kapde

2. do jodi se zaid jute, chappal

3. showcase ke bartan, showpic

4. TV, vcr

5. istiamal ke sone, chaandi ke zewar

📚Ahsanul fatawa 3/472 se makhooz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📱💻
Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, August 18, 2016

CHHOTE NABALIG BACHCHE AUR PAAGAL PAR QURBANI KA HUKM

CHHOTE NABALIG BACHCHE AUR PAAGAL PAR QURBANI KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 756⭕

Chhote nabalig bache Aur paagal agar maaldaar ho to un par qurbani wajib hai ?

🔵JAWAB🔵

Nabaalig bachche aur paagal par qurbani wajib nahi, chaahe maaldaar ho, aur un ke awliya yani dekhbhal karne walo par bhi in ki qurbani zaruri nahi, Lekin agar qurbani kar den to behtar hai.

📚Mustafad, kitabul masail 2/226

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

QURBANI KARNE ME HUZUR ﷺ KA HISSA RAKHNA

QURBANI KARNE ME HUZUR ﷺ KA HISSA RAKHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 755⭕

1.
Huzure akram ﷺ ki taraf se qurbani kar sakte hai ?

2.
Chand aadmi milkar 1 hissa lekar Huzure akram sallahu alayhi wasallam  ya kisi ko sawab puhoncha sakte hai ?

🔵JAWAB🔵

1.
Koi apni taraf se Huzure akram ﷺ ke liye qurbani karey to koi haraj nahi, balke sa'adat ke haasil hone ka zarya hai.

📚Kitabul. Masail 229

2.
ji haan, Agar sawab pohchane ki niyyat se chand aadmi 1 janwar me, ya janwar ke 1 hisse me sharik hokar qurbani ka sawab pohncha sakte hai, is liye ke is me wajib ki adaygi nahi, balke sawab maqsad hai.

📚Mustafad kitabul masail 2/233

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📱Join Telegram Chennal
                 @Aajkasawal

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, August 17, 2016

JANWAR ME HISSE AUR NIYYAT

JANWAR ME HISSE AUR NIYYAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.754⭕

1.
Ek janwar me kitne hisse ho sakte hai ?

2.
Bade janwar me sharik log kis kis niyyat se sharik ho sakte hai ?

🔵JAWAB🔵

1.
Bakra, bakri dumbe me 1 hi hissa ho sakta he (yani ek hi aadmi ki qurbani ek janwar me hogi, 1 se ziyada nahi)
Aur bade janwar jaise gaay, bhens, unt me 7 tak hissedaar ho sakte hai  (yani ziyada se ziyada ek bade janwar me 7 aadmi ka hissa ho sakta hai, usse zyada nahi, haan kam ho sakte hen,  jaise 2, 3 aadmi milkar pura bada janwar qurbani kare to jaaiz he)

2.
Bade janwar me sharik tamam hazraat ki niyyat sawab aur ibadat ki honi chahiye. (yani sab hisse daar kisi na kisi sawab ke kaam me hissa le rahe ho, jaise waleema aqiqa, qurbani, kisi ki niyyat sirf gosht ki na ho, agar kisi ki sirf gosht ki niyyat ho yaa koi gosht ki dukan wala hai aur hisse se us ko sirf gosht chahiye aur koi sawab maqsad nahi to kisi ki bhi qurbani nahi hogi.

📚Kitabul masail 2/233)

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻📲
Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, August 16, 2016

AQEEQAH,QURBANI KA HISSAH

AQEEQAH,QURBANI KA HISSAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.753⭕
Qurbani ke bade janwar me waleema ya aqiqa ka hisaa le sakte hen?? 

🔵JAWAB🔵

Ji han Waleema sunnat hai sawab he, us ka hissa rakh sakte hen isi tarah aqiqe ka bhi rakh sakte hen.. 

📘(Mustafad kitabul masail 2/233)

📗MASAILE QURBANI RAFAT

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Join  Telegram Chennal 
                   @Aajkasawal

📲Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, August 15, 2016

JANWAR KA SING TUTA HUWA YA PEDAISH SE NA HONA

JANWAR KA SING TUTA HUWA YA PEDAISH SE NA HONA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 752⭕

1. Sing tute janwar ki qurbani hogi ?

2. Pedaishi sing na ho aise janwar ki qurbani hogi ?

🅾JAWAB🅾

1. Jis janwar ka sing ka kuch hissa tut gaya ho to qurbani durust he, Lekin agar sing tutne ka asar dimag tak pahunch gaya ho yani dimag ki haddi me surakh hole ho gaya to qurbani durust nahi hogi.

2. Jis janwar ke pedaishi sing na ho us ki qurbani durust he.

📚Kitabul masail 2236)

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, August 13, 2016

JHANDAA LEHRANA AUR SALAMI DENA

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
JHANDAA LEHRANA AUR SALAMI DENA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 751⭕

15TH AUGUST AUR 26TH JAN. KO JHANDAA (FLAG) BALAND KIYA JAATA HAI IS MAWQE PAR  SHIRKAT KARNEWALE BHI HAATH UTHAAKR  USKO SALAAMI PAISH KARTE HAIN AUR JHANDE KE AAGE JHUKTE HAIN USKA SHARAEE HUKM KYA HAI?

🅾JAWAB🅾

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
           
 JHANDAA LEHRANA AUR SALAMI DENA  DURUST HE, EK SIYASI AUR FAUJEE AMAL HAI, AUR AHLE ILM NE USKO JAAIZ QARAAR DIYA HAI, ALBATTA US MAWQE SE AISA KOI AMAL KARNA JIS SE JHANDE KI GAIR MA'AMULI [EXTRA ORDINARY] TA'AZIM [RESPECT] ZAAHIR HOTI HO JAISE DONO HAATH JODNA YA JHUKNAA JAAIZ NAHIN HAI, ISLAMI POINT OF VIEW SE KISI BHI MAKHLUQ KE SAATH IS TARAH KI TA'AZIM KA SULOOK SAHEEH NAHIN HAI.

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

HAZRAT MUFTI KIFAYATULLAH SAHAB RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAIN

*"JHANDE KO SALAAMEE DE SAKTE HAI, ISLAMI HUKOOMATON ME BHI HOTA HAI,* US ME TAAZEEM KA SHUBAH HO TO US ME ISLAAH HO SAKTI HAI.
(IS TARAH KE SAR BULAND KAR KE SEENAH TAAN KAR SALAMI DEE JAYE) LIHAZA IS KO MUTLAQAN-BILKUL MUSHRIKANAH AMAL QARAAR DENA SAHEEH NAHI.

📚KITABUL FATAWA 1/281FATAWA RAHEEMIYAH.KARANCHI 10/180 

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images, Deeni Masail Malumaat Karne ke Liye Islamic Group Application download Kare.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

KHASSI & HAMILA JANWAR KI QURBANI

👉🏻KHASSI & HAMILA JANWAR KI QURBANI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 750⭕

1. Khassi janwar ki qurbani jaaiz he ?

2. Gaabhan (hamal wale) janwar ki qurbani jaaiz he ?

🅾JAWAB🅾

1. Khassi janwar ki qurbani jaaiz, balke afzal aur masnoon he, kyun ke us ka gosht ziyada achchha hota he us me badbu nahi hoti

2. Agar wiladat ka waqt qarib he to makruh he, warna makruh nahi.

📚Kitabul masail 2/239

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, August 11, 2016

KIN JANWARON KI QURBANI JAIZ NAHIN

KIN JANWARON KI QURBANI JAIZ NAHIN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 749 ⭕

Janwaron ke wo uyoob (khamiyan) kya hai jin se qurbani jaiz nahi hoti..??

🅾JAWAB🅾

★niche diye huwe uyoob wale janwaron ki Qurbani jaiz nahin.

1. Jiska ek sing jad se ukhad gaya ho.
(dimag tak asar hogaya ho)

2. Andhaa ho.
(chahe 1 aankh se aandha ho)

3. Itna Kaanaa ho ke uska kaanaa pan malum hota ho.

4. Itna langda ho ke khud chal kar QurbanGaah tak na ja sake.

5. Itna bimaar ho ke uski bimari saaf tor par zaahir ho.

6. Jiska kaan, Aankh, Punchh wagerah aa'za 1/3 (teesre hisse) se ziyada kat gaya ho.

7. Pedaishi Daant na ho, ya aksar daant gir gaye ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.

8. Aisa paagal ho ke ghaas-chaara na khaa sakta ho.

9. Khujli wala janwar jo (khujli ki wajah se) bahot dubla aur kamzor ho gaya ho.

10. Jiska Aanchal (than) sukh gaya ho ya cut gaya ho ya 1/3 se ziyada cut gaya ho.

11. Bakri, Ghenti-dumbi ke 1 Aanchal ka siraa na ho, chahe cut gaya ho ya kisi aur wajah se na ho.

12. Jis Gaay, Untni ke Aanchal ki 2 sirey khatm ho gayi ho.

13. Aisa janwar jiska khaana NaaPaki aur Gandki ho.

14. Jis gaay ya bhensh ki zuban puri ya 1/3 se ziyada cut gayi ho.

15. Itna kamzor ya dubla janwar jiska haddi ka gooda baaqi na raha ho.

16. Khunsa-hijdaa jis me Nar aur Maada dono ki sharmgah ho.

📗masaile qurbani m.rafat
📕khulasatul  fatawa 4/320

📘fatawa raheemiyah 3/383

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, August 10, 2016

KIN JANWARON KI QURBANI DURUST

KIN JANWARON KI QURBANI DURUST

⭕AAJ KA SAWAL NO. 748 ⭕

Qurbani kin janwaron ki durust hai ? 

🅾JAWAB🅾

Qurbani in janwaron ki durust hai,

1.  Bakri (goat), jisme bakra dumba gheta wagairah shaamil hai,

2. Unt (camel)

3. gaay jis me bhens (buffalo) bhensa (pada) shaamil hai.

📚Mustafrad kitabul masaail 2/231)

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻📱
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye

http://www.aajkasawal.page.tl

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, August 9, 2016

GAAY KI QURBANI

GAAY KI QURBANI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 747 ⭕

Fitne ke dar se gaay ki qurbani Na karna kesa he?? 

🅾Jawab🅾

Gaay ki qurbani jaaiz he, Lekin agar fitne ke andeshe ki wajah se Na ki jaye to jaaiz he

📚Kitabul masail bifarq 2/231)

NOTE:
Fitne aur zhagde fasaad ka andesha ho to Gaay ki qurbani Nahi karni chahiye. Uske alawa bhi bahot se janwar hai jinki qurbani ki ja sakti hai, uska list aaindah kal ke sawal number 748 me bheje jayega inshaAllah.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, August 8, 2016

HAJI KITNI QURBANI KARE ?

HAJI KITNI QURBANI KARE ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.746 ⭕

Jo log haj me jate hai un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ?? 

🅾Jawab🅾

Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne ghar per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi,Agar haji haj ke dino ko milakar 15 din makkah me theherne wala he to agar wo maaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare, chahe apne ghar per karwa le (Hajj ki qurbani alag he, us ka masala alag he.)
(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran karte hai un per haj ki qurbani to wajib hai hi our agar wo maaldaar our muqeem hai to un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi)
Aur agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi.

Note:  jadeed zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdalifa ab makkah ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din ho jayenge to wo muqeem kehlayega aur maldari ki qurbani wajib hogi.

📚Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

QURBANI KIS PAR WAJIB

QURBANI KIS PAR WAJIB

⭕AAJ KA SAWAL NO.745 ⭕
Qurbani kis par wajib hai?

🔵JAWAB🔵

Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10, 11, 12, zil hIjjah me  nisaab ke baqadr Maal ho us par qurbani wajib hai.

Nisaab: 52.5 (saade bavan tola),
612 gram 35 mili gram  chaandi (silver) ya uski *aaj 8/8/2016 ko us ki qeemat 28940 rs.* ka koi bhi maal,saaman, qarza ho to ada karne ke baad bachta ho Ya thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarat aur gaire tijarat ka maal.... in chizon me se kisi bhi do ya chand chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandi *ya 28940 rs.* ko pahuch jaye tab bhi qurbani wajib hai.

Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai aur 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi, (aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal rupiya bilkul na ho to 7.5 tole se kam hone ki soorat me qurbani wajib nahi hai.

📚MASAILE QURBANIAHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, August 5, 2016

AURTON KA RUKHSAT KARNE JANA


AURTON KA RUKHSAT KARNE JANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.743 ⭕
Aaj kal baaz jaga aurten bhi hajiyon ko rukhsat karne platform par jati hain shareeat me is ka kya hukm hai.? 

🔵JAWAB🔵

Hajiyon ko rukhsat karne ke naam par aurton ka platform/airport/bus adde wagerah par jana, mardon aur aurton ka mel jol, be pardagi, bad nigahee wagairah kai kharabiyon ke paida hone ka sabab hai.
Lihaza is ko qataee taur par -bilkul bandh kar dena chahiye.(mubarak safar ki ibtidaa gunhon ke irtikaab se nahi honi chahiye)

📚Fatawa raheemiyah 8/136 se makhooz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, August 4, 2016

AURAT KA MAHAARIM

*AURAT KA MAHAARIM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 742⭕

AURAT KO KIN KIN LOGO SE PARDA KARNA ZARURI NAHI ?

🅾JAWAB🅾

Aurat apne mahram mardo se parda nahi karegi aur aurat ka mahram wo hota hai jisse hamesha ke liye nikah haraam ho,
hurmat nikah ke teen asbab hain:-

1- Qarabat dari
2- Dudh ka rista
3- Silsilayi talluq, Nasbi mahram.

➡Qarabat dari ki wajah se mahram ki tafsil hasbe zail hain:-

1- Abu Ajdad: Aurto ke baap, unke ajdad upar tak, in me dada aur nana sab shamil hai.

2- Bete: Aurto ke bete, unme bete, pote, nawase wagera.

3- Aurto ke bhai: Unme haqiqi bhai, baap ki taraf se aur maa ki taraf se tamam bhai shamil hai.

4- Bhanje aur bhatije: In me bhai ke bete, bahen ke bete, aur unki nasal shamil hai.

5- Chacha aur mamu: Ye dono bhi nasbi mahram me shamil hai, inhe walidain ka qaayam maqam hi samjha jata hai, baaz dafa chacha ko bhi walid keh diya jata hai.

➡Dudh ka rista/Razai mahram: Isse wo murad hai jo riyazat yani dudh ki wajah se mahram ban jate hai. Hadis me hai ke Allah ta'ala ne raza'at-dudh se bhi un rishton ko haraam kiya hai jinhe nasab ki wajah se haraam kiya hai.

📚(Munsad Imam Ahmad, safa 131 jild

Jis tarha nasbi mahram ke samne aurat ka parda na karna jaiz hai usi tarha raza'st-dudh ki wajah se mahram banne wale shakhsh ke samne aurat ka parda na karna mubah hai, yani aurat ke razai-dudh shareek bhai, razai walid, razai chacha se parda karna zaruri nahi,

➡Sasurali mahram:Aurat ke sasurali mahram se murad wo rishte hai jin se shadi ki wajah se hamesha ke liye nikah haraam ho jata hai, jaisa ki sasur aur shohar ke agle ghar ka beta,daamad-jamaae wagerah shadi ki wajha se mahram hai

👉�Mazkurah Mahram rishtedaro ke alawa jitne bhi rishtedar hai unse aurat ko parda karna chahiye, khwah wo chacha, fufiyo, khala aur mamuo ke bete hi kyu na ho, isi tarha khawind ke sab bhai khawind ke chacha aur mamu se bhi biwi ko parda karna chahiye, kyuki wo uske khawind ke chacha aur mamu hai, uske nahi.

(wallahu alam) 

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka  Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AURATON KA HAJJ AUR MAHRAM*

*AURATON KA HAJJ AUR MAHRAM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 741⭕

1⃣ Aurat ko hajj ke safar ke baarey me kya hukm hai..?

2⃣ Mahram kise kehte hain? 

🅾JAWAB🅾

1⃣ Aurat ke liye bageir mahram ke safar karna shar’an jaaiz nahin hai, isliye woh hajj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske saath koi mahram hajj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se hajj kar rahaa ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahaan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taaqat ka ek hissah hai, agar mahram na mile raastae me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatarah ho to hajj ki taaqat nahin samjhi jaayegi.   

📚ma’riful quran-2/122 se maakhuz

2⃣ Mahram se murad woh shakhs hai jiske saath nikaah zindagi ke kisi bhi waqt me haraam ho, chaahe nasab ki wajah se, ya susrali ya doodh ke rishtah ki wajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, yeh sab mahram hai, neez mahram ka mu’atamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitne aur shahvat ka khatarah na hona bhi shart hai.

📚fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj

Aurat ke liye khalu [maasa], fufaa, apne shohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,(bhaijan)Dewar, jeth, mahram nahin hai.

📚fatawa rahimiyah-8/307][aap ke masail 4/84 se maakhuz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, August 3, 2016

HAJI KIN BAATON KA KYHAL RAKHE

*HAJI KIN BAATON KA KYHAL RAKHE*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 740⭕

hajiyon ko makka mukarama aur madina manauwara mein kin baton ka khayal rakhne ki zaroorat hai?

🅾JAWAB🅾

Jo log hajj karne ke liye makka mukarama jayein, inhe chahiye ke vo wahan pahuch kar khana e kaba me baa jamayat namaze adaa kare.wahan mahroom wa bad nasseb hai woh shakhs jo allah ke ghar ke jakar allah ne jis imam ko apne ghar khada kiya hai us ke pichhe namaz na parhe.
Ahle sunnat wa jamat ki 10 nishani hadees shareef me bayan ki hai us me se daswee ye hai ke woh har nek aur gunehgar ki pichhe namaz padhne ko jaiz samjhte hai.dusri hadees me hai sawade aazam ki ittibaa karo yani nek logon ke bade majmia ki pervi karo un ke tareeqah par chalo jab makkah me haj ke mawqah par kamo besh chalis lakh namazi hote hai jin me se aksar log umrah kar ke gunhon se taubah kar ke nek ban jate hai itne bade nek majmia ki ittibaa na karna is hadees ki mukhalifat hai.ek aur hadees me hai ke meri ummat gumrahi par jamaa na hogi to kya ye chalis lakh ka majma gumrahi par jamaa ho gaya aur ye majmaa jo imam  ke kafir hone me shak kar ke un ko musalman samjh kar namaz padh raha  hai barelviyon ke fatwe ke mutabiq kafir ho sakta hai?
Aur chand alag namaz parhnewale indian,pakistani aur bangaladeshi jin taadad chand hazar hogi sirf itne hi musalman aur 200 mulk ke tamam imam ke pichhe namaz parhnewale kafir aur gumrah aesa ho sakta hai?
Hargiz nahi warna is hadees ka galat hona lazim aayega.
Aur khilafte turkiya 1922 me khatm hui tab se molana ahmad raza ne saoodi hukoomat aur haramain sharifain ke imamon par kafir hone ka fatwa laga diya to kiya aaj 2016 yani tawreeban ek sadi tak wahan kafir imam hee ka qabzah hai.Huzoor ﷺ ko aur tmam waliyon ko mukhtare kul mante hai to Huzoor ﷺ ne jitne awliyaa wahan aate hai un ki hukoomat ka takhtah itne zamane tak nahi ultaa kya aesa ho sakta hai ke logon ki zindagiya puri ho jaye lekeen allah kafir hukoomat ke khilaf na madad aaye na un ki pakad ho! Hadees ke mutabiq Allah har sadi ke aam gumrahi ko.khatam karne ummat ki islah ke liye mujadid bhejta hai to puri sadi me koi mujadid bhi nahi aaya jo in imamon ki islah kar sake aesa ho sakta hai?
Aesa kabhi nahi ho sakta lihaza
Koi namaz bhi wahan harmain ki  jamayat ke bagair nahi honi chahiye.

is tarah bilkhusoos madina manauwara me bhi masjid nabwi me BaaJamayat namaz adwa karne ki pabandi ki jaye, is mein kotahi na ki jaye. 

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, August 1, 2016

HAJJ KI QISMEN

*HAJJ KI QISMEN*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 739 ⭕

Hajj ki kitni qismen hai ?

🅾JAWAB🅾

Hajj ki teen qismen hain

1- hajj ifraad,

2- hajj tamattu'a,

3- hajj e Qiraa'an

1-Hajj ifraad me sirf hajj ki niyyat se aehram bandha jata hai aur isi aehraam se sirf a'amal e  hajj ada kiye jate hain.haj se pehle umrah nahi kiya jata hai.

2- Hajj tamattu'a me hajj ke mahinon me sirf umrah ki niyat se ahraam bandha jata hai aur umrah adaa karke ahraam khol dia jata hai. Phir 8 zihiljjah ko hajj ki niyyat se ahraam bandh kar a'amal e hajj ada kiye jate hain .

3- Hajj e Qiraa'an me ek hi ahraam me hajj aur umrah adaa kiya jata hai. Pehle umrah kiya jata hai aur is ke baad halaq (sar ke baal ustare (razor) se saaf ya chhote karana) nahin karaya jaata balke isi ahram me reh kar ahraam ki pabandi ki jaye aur 8 zihiljjah se isi ahraam me hajj ke a'amal adaa kiye jayen.

Hajj ifraad me qurbani mustahab hai.

Hajj tamattu'a aur hajj e Qiraa'an mein qurbani karna wajib hai.

Miqaat se bahir se aane wale in tinon me se koi bhi hajj ada kar sakte hai lekin makka mukaramah me rehne walon ke liye hajj tamattu'a aur hajj e Qiraa'an karna manaa hai kyun ke Allah ta'ala ne inhen mawaqah ataa farma rakha hai ke woh jab chahein umarah ki sa'adat hasil kar sakte hain, isliye miqaat ke andar rehne wale hajj ifrad hi kar sakte hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...