QURBANI KARNE ME HUZUR ﷺ KA HISSA RAKHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO. 755⭕
1.
Huzure akram ﷺ ki taraf se qurbani kar sakte hai ?
2.
Chand aadmi milkar 1 hissa lekar Huzure akram sallahu alayhi wasallam ya kisi ko sawab puhoncha sakte hai ?
🔵JAWAB🔵
1.
Koi apni taraf se Huzure akram ﷺ ke liye qurbani karey to koi haraj nahi, balke sa'adat ke haasil hone ka zarya hai.
📚Kitabul. Masail 229
2.
ji haan, Agar sawab pohchane ki niyyat se chand aadmi 1 janwar me, ya janwar ke 1 hisse me sharik hokar qurbani ka sawab pohncha sakte hai, is liye ke is me wajib ki adaygi nahi, balke sawab maqsad hai.
📚Mustafad kitabul masail 2/233
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
📱Join Telegram Chennal
@Aajkasawal
💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment