QURBANI KIS PAR WAJIB
⭕AAJ KA SAWAL NO.745 ⭕
Qurbani kis par wajib hai?
🔵JAWAB🔵
Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10, 11, 12, zil hIjjah me nisaab ke baqadr Maal ho us par qurbani wajib hai.
Nisaab: 52.5 (saade bavan tola),
612 gram 35 mili gram chaandi (silver) ya uski *aaj 8/8/2016 ko us ki qeemat 28940 rs.* ka koi bhi maal,saaman, qarza ho to ada karne ke baad bachta ho Ya thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarat aur gaire tijarat ka maal.... in chizon me se kisi bhi do ya chand chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandi *ya 28940 rs.* ko pahuch jaye tab bhi qurbani wajib hai.
Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai aur 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi, (aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal rupiya bilkul na ho to 7.5 tole se kam hone ki soorat me qurbani wajib nahi hai.
📚MASAILE QURBANIAHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj Ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment