*HAJJ KI QISMEN*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 739 ⭕
Hajj ki kitni qismen hai ?
🅾JAWAB🅾
Hajj ki teen qismen hain
1- hajj ifraad,
2- hajj tamattu'a,
3- hajj e Qiraa'an
1-Hajj ifraad me sirf hajj ki niyyat se aehram bandha jata hai aur isi aehraam se sirf a'amal e hajj ada kiye jate hain.haj se pehle umrah nahi kiya jata hai.
2- Hajj tamattu'a me hajj ke mahinon me sirf umrah ki niyat se ahraam bandha jata hai aur umrah adaa karke ahraam khol dia jata hai. Phir 8 zihiljjah ko hajj ki niyyat se ahraam bandh kar a'amal e hajj ada kiye jate hain .
3- Hajj e Qiraa'an me ek hi ahraam me hajj aur umrah adaa kiya jata hai. Pehle umrah kiya jata hai aur is ke baad halaq (sar ke baal ustare (razor) se saaf ya chhote karana) nahin karaya jaata balke isi ahram me reh kar ahraam ki pabandi ki jaye aur 8 zihiljjah se isi ahraam me hajj ke a'amal adaa kiye jayen.
Hajj ifraad me qurbani mustahab hai.
Hajj tamattu'a aur hajj e Qiraa'an mein qurbani karna wajib hai.
Miqaat se bahir se aane wale in tinon me se koi bhi hajj ada kar sakte hai lekin makka mukaramah me rehne walon ke liye hajj tamattu'a aur hajj e Qiraa'an karna manaa hai kyun ke Allah ta'ala ne inhen mawaqah ataa farma rakha hai ke woh jab chahein umarah ki sa'adat hasil kar sakte hain, isliye miqaat ke andar rehne wale hajj ifrad hi kar sakte hai.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment