*HAJJ-e-BADAL*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 738 ⭕
Hajj-e-Badal ki kitni surten hai? Aur us ke masail kyaa hai ?
🅾JAWAB🅾
Jis shakhs per haj farz ho aur usne itna maal chhoda ho k uske tihai (third) hissah se hajj karvaaya jaa sakta hai aur usne haj badal karvaane ki vasiyyat bhi ki ho to uski taraf se hajj e badal karaana uske vaariso per farz hai,
Jis shakhs ke zimme hajj farz tha magar usne itna maal nahin chhoda ya usne hajj e badal karvaane ki vasiyyat nahin ki, uski taraf se hajj e badal karvaana vaariso per laazim nahin, lekin agar vaaris uski taraf se khud hajj e badal karey ya kisi doosre ko hajj e badal ke liye bhej de to Allah ki rahmat se ummid hai ke marhoom ke hajj ka farz Adaa ho jayega,
Aur jis shakhs per hajj farz nahin, agar vaaris uski taraf se hajj e badal karey ya kisi ko bhej de to yeh Hajj nafli hajj baraaye isaale sawab hoga,
Agar aisi bimari ya kamzori hai, jiski wajah se khud hajj ko jaane se ma'azoor hai to bhi kisi ko hajj e badal par bhej sakte hai,
Hajj e badal (woh hajj jo asal admi par farz ho) aisa shakhs karey jisne pehle apna hajj kiya ho, jisne apna hajj nahin kiya ho aise shakhs ka hajj e badal karna makrooh hai,
*Hajj e badal apne watan se kiya jaaye, Saudi Arab se jaiz nahin,*
Nabaalig hajj e badal nahin kar sakta,
Farz Hajj e badal karne wale ko sirf hajj ka ehram baandhna chahiye yani uska Hajj ifraad hoga, Aur Hajj e ifraad me hajj ki wajah se qurbani wajib nahin hoti,(qurbani tamattua aur qiran hajj me wajib hoti hai)
Agar hajj e badal karne wala agar Tamattu'a kare (ya'ani miqaat se sirf Umarah ka ahraam baandhe Aur Umarah se faarig hokar 8 Zilhijjah ko hajj ka ahraam baandhe) to tamatto'a ki qurbani khud apne maal se laazim he,, agar bhejne wale ne ijazat de di ho to unke maal se qurbani kar sakte hai,
📚Aapke Masa'il aur unka Hal,
JILD-4, Safa 68
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment