HAJ KI HAQEEQEE TAIYYARI
⭕AAJ KA SAWAL NO. 737⭕
Haj me jane walon ko haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ??
🅾JAWAB🅾
Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai, To is ne'amate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye, aur apne andar mahsus kijiye ke Allah taala ne apne muqaddas ghar aur Apne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki haazri ke movqe ki baat aap ke dil me daali, Aur uske asbaab bhi aapko muhaiyya farma diye,
Ab is ne'amate uzma ka shukriya ye hai ke Apne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husool ke liye apne aapko Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye,
Isliye ke badaa hi bad-nasib hai wo shakhs jisko Uska mavla behtareen safar nasib kare Aur wo apne aapko wahan ki haazri ke aadab aur tareeqa sikhne ki aur banne sanwarne ki fikr na kare, Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa samjhi ke sath waha ja pahonche,
Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm sikh kar aur apne gunahon se sachchi touba kar ke Aur logon ke huquq baqi ho usko adaa kar ke, ya muafi kara kar paak saaf ho kar Allah ta'ala ke aali darbaar me pahonche,
Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai, camp-jod bhi hote hai, Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai,
Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje, aur khud bhi paabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi kharid kar padhna shuru kar den,
Aur aam sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe haj ke arkan-o-ahkam sikhne ki targeeb de, ho sakta hai aap ki mehnat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye
📚makhuz
haj sunnat ke mutabiq
👏🏻Allah taala mujhe bhi aur sab ko har amal seekh kar fikro ke sath karen ki toufiq ataa farmaye.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment