👍🏻EID KI MUBARAK-BAADI KAISE DEN.?
⭕AAJ KA SAWAL NO.714⭕
aaj kal log eid ke mavqah par eid mubarak kehte hain is ka kya hukm hai?
is ka koi shareeat me suboot hai?
🔵JAWAB🔵
Lafze 'eid mubarak' ko sunnat aur zarooree samjhe bagair in alfaaz se mubarak badi dene me koi haraj nahi.
Mustahab ye hai ke niche ke lafzon se mubarak baadi dee jaye.
🔸Hazrat waasilah RADEEYALLAHU ANHU farmate hai ke mene nabie kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM se eid ke din mulaqat ki hai aur mene kaha
"TAQABALLAHU MINNAA WA MINK"
(Allah hamare aur tumhare nek amal qabool farmaen)
Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya : han zaroor.
TAQABALLAH MINNAA WA MINK
📕(sunane bayhaqi lil kubraa hadees no.6088)
allaamah albaani Rahmatullahi alayhi ne is hadees ki tayeed ki hai
Aur sahibe hilyah ne aur muhaqeeq ibne ameerul haaj ne ne saheeh sandon ke sath bahut se aasaare sahaba naqal kiye hai aur mubarak ke mavqeh par barkat ki duaa dena bhi sabit hai is se
"EID MUBARAK "kehna bhi jaiz hai.
📗(muhaqqaq wa mudalal jadeed masaail (mufti jaafar sahab rahmani ki)
safa 101
📘ba hawala raddul muhtar alaa durril mukhtar 3/47 kitabus salat)
📙khairul fatawa 3/124
📔fatawa haqqaniyah 2/70
✏(MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT
No comments:
Post a Comment