Saturday, July 23, 2016

HUZOOR ﷺ KA ILM

HUZOOR ﷺ KA ILM

⭕AAJ KA SAWAL NO.730 ⭕
Ulamaa e devband ka Huzoor ﷺ ke ilm ke bare me kya aqeedah hai? Huzoor ﷺ ko kitni chizon ka ilm tha?
Hazrat Umar رضی اللہ عنہ se riwayat hai Huzoor ﷺ hamare darmiyan khade huwe aur hame qainat ki ibtidaa se kekar jannatiyon ke jannat me dakhil hone aur jahannimiyon ke jahannam me dakhil hone tak ki khabar di ab jis ne use yad rakha yad rakha aur jo bhul gaya bhul gaya.

BUKHRI SHAREEF 2/453

me awwalin wa aakharin ka aur jo gaya hai aur jo hoga us ka ilm ata hone ka zikr hai.is hadees ke bare me kya kehte hain?

🔵JAWAB🔵

Ye aur is jaisee ahadees jis me Huzoor ﷺ ko awwalin wa aakharin ka ilm ataa hone ka zikr hai us se murad ijmaali ilm ya'ani sab ilm ka khulasah aur nichod ata hona murad hai.Is ko ham bhi maante han. Har cheez ka pura pura ilm me se jitna aur jis waqt Allah ne bataya untna  Huzoor ﷺ jante hai aur jo nahin bataya woh nahin jante hain.

Bukhari shareef ki riwayat me hazrat Umar aur dusre raawi bhi is baat ka iqrar kar rahe hain ke kuchh baaten bhul gaye yani ilm me me na rahi kuchh yaad rahi is se bhi pataa chala ke ilme kulli-har cheez ka pura pura ilm sahaba رضی اللہ عنہم ko bhi nahin tha jitna Allah aur uske rasool صل اللہ علیہ وسلم bataya unta hai jitna nahin bataya tha nahin hai.

Agar Huzoor ﷺ ko har har cheez ilm har waqt pehle se ho to Allah ko wahee bhejne ki zaroorat kya thi.!!?

Har jagah mawjood ho to hijrat ki zaroorat kya thi !!?

Sahaba رضی اللہ عنہ ko har baat ka ilm ho to huzoor صل اللہ علیہ وسلم wasallam ko masla puchhne ki zaroorat kya thi !!!?

Nabi صل اللہ علیہ وسلم ke liye Allah ki tarah har cheez ka ilme kulli pura pura tafseelee ilm maanna ye wahee ka inkar hai.

Sahaba رضی اللہ عنہ ko har cheez ka ilm hona maanna Huzoor ﷺ ke shagird- studant hone ka inkar karna hai.

Huzoor ﷺ ka har cheez ka ilm tha to yahoodi aurat ne gosht me zahar milaya tha us gosht ko thoda bhi kyun khaya? Wagairah bahut se waqiaat hai.

Sahaba رضی اللہ عنہ ke bahut se ayse sawalat hain jisme Huzoor ﷺ ne khamoshi baratkar ma'alum na hona zahir kiya aur jibrail علیہ السلام ke wahee lane ka intizar kiya.

Lihaza saheeh aqeedah yahi hai ke Huzoor ﷺ ko beshak qainat me sab se ziyadah awwleen wa aakhareen ka itna ilm diya gaya tha ke makhlooq me se koi bhi un ke paas tak nahin pahonch sakta na muqarrab farishtah na nabi na rasool.
Aur beshak qayamat tak hone wale waqiyat, alaamaten batlayi Aap par Allah ka fazle azeem hai lekin ba'az cheezon ka ilm yani har zamane ke har secound har naye paida hone wale tamaam waqiyat me har har baat ki pura pura ilm aisa tafseelee ilm ke koi kona,koi baarik baat bhi na chhute aesa ilm Allah ne har waqt hamesha ke liye nahin diya tha.maulana ahmad raza aese ilm ke bare me likhte hai ke ilme zati aur ilm bil istiyaab muheet tafseelee ( jis ka matlab upar likha hai) allah azzawajal ke sath khas hain.
📔KHALISUL AETIQAD SAFA 23.
Jitna ilm aur jaisa ilm Allah ne jab chaha bataya utna jante the jitna jab chaha nahi bataya nahin jante the.
Kisi baat ka makhlooq me se kisi ko ilm hona aur Huzoor ﷺ ko us ka ilm na hone se Aap ke ilm ke saari malooq se afzal hone me ilm ki shan me koi farq nahin padta hai

Jaise Haz.Suleiman علیہ السلام par woh ajeeb waqiaa chhupa raha jiska ilm hudhud paraindah ko huwa is lse Suleiman علیہ السلام ke alim hone me nuqsan nahin aaya.hudhud kehta hai mene aisi khabar paayi jis ki Aap ko ittilaa nahin aur shahare saba se ek yaqeenee khabar laya hun.
SURAH E NAML @ 22
shirk se paak yahi aqeedah hai.

📘AQAIDE ULAMA E DEWBAND SAFA 22

📗Maula ahmad raza bhi likhte hai ke ham na ilme ilahi se musawat (barabari ) mane..ham ata e ilahee se Huzoor ﷺ ko baz ilm gaib milna hee mante hai na ke jameea.

📕KHALISUL AETIQAD safa 23.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...