ANBIYAA (al.) WA AWLIYAA KA WASEELAH
⭕AAJ KA SAWAL NO.724 ⭕
kya wafat ke bad Huzoor ﷺ ka tawassul-waseelah lena duaawon me jaiz hai ya nahi ?
Ulamaa e dewband-ahle sunnat wal jamaat ke nazdeek salafe saliheen yani anbiyaa (al.) wa siddiqeen wa shuhdaa ka tawassul bhi jaiz hai ya nahi ?
🔵JAWAB🔵
Hamare nazdeek aur hamare mashaikh ke nazdeek duaawon me anbiyaa wa sulahaa wa awliyaa wa shuhdaa wa siddeqeen ka waseelah lena jaiz hai.
un ki hayat me ho, ya wafat ke baad ho, is tarah kahe ke
'‘ya Allah fulan buzrug ke waseelah se tujh se duaa ki qubuliyat aur haajat barari-pura karna chahta hun, fula buzrug ke wasselah se mera kaam bana den’'
ya isee jaise aur jumle kahe.chunanche is ko saaf likha hai hamare shaikh hz. maulana ishaq dahelvi ne, fir hz. maulana rasheed ahmad sahab gangohi ne bhi apne fatawa rasheediyah pehli jild safa 93 par is ko jaiz likha hai.
Hamare kaee akabireen ne apne buzrugon ke silsilah ke shajre tasneef farmaye hai jo un ke mureedeen ke maamoolat me hai, un me waseelah se duaa ke ashaar mavjood hai.
namoonah ke taur par Allamah thanvi rh. ki munajate maqbool ke chand ashaar mulahizah hon.
SADQAH APNI IZZAT WA IJLAAL KA,
SADQAH PAIGAMBAR KA WA UN KI AAL KA,
APNE PAIGAMBAR KA SADQAH AE KHUDA,
NAAM JIN KA HAI MUHAMMADE MUSTAFAA, ﷺ
HAZRAT MUSA KA SADQAH AE KAREEM,
JO HAI PAIGAMBAR TERE AUR HAIN KAREEM.
📗Aqaide ulamaa e dewband aur ulamaa e harmain ki tasdeeqat.
Safa 10
Raeesul muhaddiseen hazrat maulana khaleel ahmad sahab rah. ki.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
No comments:
Post a Comment