Friday, July 15, 2016

SHASH KE ROZE MAKROOH NAHI & FAZEELAT

SHASH KE ROZE MAKROOH NAHI & FAZEELAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.723

Hazrat maulana zarwali khan saheb pakistani db.ke bayan aur un ke naam ki image me hanfi badi kitabon ke hawalon se ye sabit kiya gaya gaya hai shash ke roze rakhna makrooh hai, ham har sal rakhten hai, hamen kya karna chahiye ? rakhe ya chhod de ? is roze ki fazeelat saheeh hadees se kya saabit hai?

🔵JAWAB🔵

Hazrat maulana zarwali khan saheb pakistani db. ki tamam daleelon ka itminan bakhsh jawab hazrat mufti taqee usmani db ki
📗DARSE TIRMIZI jild 2 me safa 599,560 me aur
📘fatawa darul uloom zakariya jild 3/safa 314 se 318.

Hazrat mufti razaul haque mufti wa shaikhul hadees Darul uloom zakariya junubi afrika ki usme Mundarjah e zail hawalon se un rozon ka mustahab hona mavjood hai.
📕SHARHUN NAWWI ALA SAHEEHUL MUSLIM 1/369
📙BAHARUR RAIQ 2/258 FAQEEHUN NAFS ALLAMAH IBNE NUJAIM HANFI KI
📔TAHREERUL AQWAL FI SAUMIS SITTE MIN SHAWWAL

Ye karahiyat ke jawab me mustaqil risalah allamah qasim qutlubgaa ka hai.

📒RADDUL MUHTAR-SHAMI 2/125
WAGAIRAH WAGAIRAH
Darse tirmizi ke hashye me aur bhi kai naam hai.

👉Hz. Mufti zarwali db ka bayan kiya huwa ikhtilaf aur us ka jawab tafseel ke sath parhne ke liye kisi ko us ki images whatsapp par chahiye to ahqar ke no. +9196873 41413 par ek sms kar ke mangwa sakte ho.

In rozon ki fazeelat ke bare me Huzoor salallahu alayhi wasallam ne farmaya: jis ne ramzan ke roze rakhe aur fir eid ke baad chhe (6) roze rakhe to us ne goya hamesha (puri zindagi) ke roze rakhe (har sal ki pabandi ho to)

📚TIRMIZI SHAREEF
📚MUSLIM SHAREEF

Yani Allah taala ke yahan har neki ka sawab das guna diya jata hai ramzan ke ek mahine ke roze das (10)  mahinon ke barabar honge baqi bache do mahine (islami sal 360 din ka hota hai) to ye roze ka sawab das guna yani 60 roze ke barabar ho gaya, is tarah ek saal ke barabar sawab milega aur har saal pabandi se rakhe to woh shareeat ki nigah me ‘’saaimud dahr‘’ yani puri zidagi roze rakhnewala hai.

Shawwal ke pure mahine me kabhi bhi ye 6 roze rakh sakte hai alag alag kar ke rakhna behtar aur ek sath bhi jaiz hai.

📓DARSE TIRMIZI 2/587 Se makhooz

🔶DARKHAST: Haz. Maulana zarwali khan  sahab db. ka bayan me bataye gaye Masail par muftiyane kiram se rujooa puchhe bagair na amal kare,  na un ke bayan aur sms ko aage send kare. warna ummat me intishar aur shukook wa shubhat paida hote hai, log khud bhi pareshan hote hai aur dusre muftiyane kiram ko bhi pareshan karte hai.

👏Duaa kare Allah Hazrat mufti zawali sahab db ko Digar muftiyan kiram ko apni tahqeeq suna kar un ki tasdeeq ya islah kara kar hi awam me bayan karne ki taufeeq ataa farmaye.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...