Huzoor ﷺ TAMAM MAKHLOOQ ME AFZAL HAI ?
⭕AAJ KA SAWAL NO.726 ⭕
Kya tumhari (Maslake dewband ki) ye ray hai ke malhlooq me se koi janabe rasool ﷺ se afzal bhi hai ?
do (2) din se jo sawal bhej raha hun aur ayindah bhi bhejta rahunga.انشالله
ye woh sawalat hai jo ahle arab ne maulana ahmad raza sahab ke arab ke safar se ulamaa e ahle arab ko galat fahmi hui thi,
fir ulamae arab ne khulasah karne sawalat dewband bheje the, usee ke jawab me Aqaide ulamaa e dewband kitab likhi gai thi)
🔵JAWAB🔵
Hamara aur hamare mashaikh ka aqeedah hai ke saiyyadana wa maulana wa habeebina wa shafeeina *muhammadur rasool ﷺ tamam makhlooq se afzal* (Hatta ke arsh wa kursi se bhi afzal) aur Allah ke nazdeek sab se behtar hain, Allah se qurb wa manzilat (qareeb hone aur rutbe) me koi shakhs aap ke barabar to kya qareeb bhi nahi ho sakta, Huzoor ﷺ sardar hain tamam anbiyaa wa rasool ke aur khatim tamam barguzidah giroh ke, jaisa ke nusoos (quran hadees) se sabit hai, aur yahi hamara aqeedah hai, aur yahi deen wa imaan isee ki tasreeh hamare mashaikh ne bahot se tasaanif me kar chuke hain.
🌹LAA YUMKINUS SANAAU KAMA KAAN HAQQAHU
(Aap ﷺ ki tareef ka haq ada nahi ho sakta jaisa tareef ka haq hai)
🌹BAAD AZ KHUDA BUZRUG TUI QISSAH MUKHTASAR
(Mukhtasar baat ye hai ke Khuda ke baad sab se bada martaba aap ﷺ hee ka hai)
📗AQAIDE ULAMA E DEWBAND.
ULAMAA E ARAB WA HIND KE DASTAKHAT KE SATH SAFA 18
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
No comments:
Post a Comment