Thursday, July 14, 2016

JHINGE KHANA HALAL HAI.

JHINGE KHANA HALAL HAI.

⭕AAJ KA SAWAL NO.722⭕

Hamare gujarat ke ilaaqe me jhinge aksar gharon me purane zamane se khaye jate hai, is ke haraam hone ka fatwa badi badi kitabon ke hawalon ke sath whatapp par ghum raha hai, padhkar bada tajjub aur pareshani hui ke hamne to zindgi me pehli baar suna, hum to deenee mahol me rehte, kisi ne bhi hame nahi roka. Lihaza is ki haqeeqat kya hai ? hum ab khana chhod den aur sab ko Roken ?

🔵JAWAB🔵

Hazrat mufti saiyyad abdur raheem lajpuri rh. fatawa raheemiyah wale tahreer farmate hain, ”Jhinga daryai janwar hai aur daryai janwaron me machhli halal hai aur jo machhli nahi woh haraam hai. Jhinga me ikhtilaf hai. Baaz ulamaa ne machhli samjhkar halal kahaa aur baaz ne kida samjhkar manaa kiya to ye janwar mashkook-shakwala huwa. Aur mashkook apni asal par mahmool hai yani shakwali cheez ki asliyyat ke mutabiq hukm lagega. jhinga me asal-main point machhli hona hai. Kida hone me shuba-shak hai. Lihaza asaliyyat ke dekhte huwe halaal hai. Haraam qarar dena saheeh nahi. Aur ye bhi saheeh nahi ke jhinga kida hai. isliye ke kida pet se paida hota hai aur jhinga machhli ki tarah ande se paida hota hai. aur machhli ki dusri nishaniyan bhi jhinge me payi jati hain, isliye jhinga haram aur us ka chhodna wajib na hoga ye fatwa hai aur bachne me taqwa hai. Aur taqwa martabah e kamaal hai.
Lugaat aur tib ki kitabon me sab ne bagair ikhtilaf ke jhinge ko saaf taur par machhli likha hai.

Ahqar imran Arbi ibarat ka tarjama paish karta hai.

1.الروبیان (جھکنگا)

1. woh bahut chhoti laal machhli hai.

📗HAYATUL HAIWAN JILD 1 SAFA 460

2.الاربیان۔۔

2. arbiyan kide ki tarah ek machhli hai.

📕QAMOSUL MUHEET 4/332

3. kide jaisi machhli hai aur sihaah me hai, kidi jaisa machhli ka anda hai jo basrat me paya jata hai.

📘SIHAAH MAA TAAJUL UROOS ARABI 10/143.
Imam bagwi aur saiyyad muhammad murtuza azzubaidi rh.ki kitab

4. Arbiyan machhli ki ek qism hai.

📙SARRAAH SAFA 560

5. irbiyan machhli ki qism hai use hindi me jhinga kaha jata hai.

📔MUNTAHAL ARAB FEE LUGATIL ARAB SAFA 120 RUBAE DOM

6. Hindi me jhinga aur arbi samndar ki tiddi  Kehte hai.

📒SHANSHUL LUGAT FARSI SAFA 140

7. Machhli jhinga maahi-halal machhli hai, uski munchhe lambi zaiqah sheereen jaisa hota hai.

📗NAKHZANUL MUFRADAAT

8. Machli ki qisam hai

📘TAZKIRAH E DAWUDINTAKI.

9. Arbiyan-jhinga machhli

📙MUNJID URDU 52

10. Jhinga agar machhli ki qisam se hai to mubah-jaiz hai lekeen kuchh shak ki wajha se taraddude - doubtful ho gaya aur ziyadah zahir baat ye hai ke mubah hai.

📕AYNUL HIDAYAH 4/173

👉HAKEEMUL UMMAT HAZRAT MAULANA ASHRAF ALI THANVI R. A. KE FATWE KA KHULASA.

Is par to sab ka ittifaq hai ke machhli apni tamaam qismon ke sath halal hai. Ab sirf shuba is me hai ke ye machhli hai ya nahi to machhli kuchh zarooree khususiyat-nishaniyan kisi daleel se sabit nahi hui ke us ke na paye jane se us ka machhli na hona sabit ho jaye.daaromadar sirf maahirin ki pehchan par reh gaya to haiwan aur cheezon ki haqeeqat ke mahireen unki kitabon me (jin ke hawale upar aa chuke hai) usey machhli aur halal kaha hai.

Baharhaal ahqar ko is waqt to is ke machhli hone me bilkul itminan hai.

📗IMDADUL FATAWA 4/101

👉HAZRAT ALLAMAH ABDUL HAY LAKHNAVI R.A.KE FATWE KA KHULASA.

Jin logon se usey haraam qarar diya hai sirf us ko machhli ki qismon se alag shumar karte huwe, haalaan ke aisa nahi hai. Jhinga halal hai.

📘MAJMUAH E FATAWA QADEEM 1/56

👉PURI BAHAS
📖FATAWA RAHEEMIYAH DARUL ISHAAT 10/77 SE 79 SE MAKHOOZ

👌🏻FESLA Jinghe ke bare me hanfi muftiyane kiram ka ikhtilaf hai, baaz halal kehte hai baaz haraam, lihaza khud us ke khane se bachna behtar aur khana jaiz hai.
Imam shafee rh. Imam malik rh. Imam ahmad bin hanbal rh.Teeno imamon ke nazdeek halal hai.

Dono taraf bade bade akabeer aur badi badi dalilen hai.

Lihaza hamare bade hazrat mufti mahmood hasan ganghohi rh. ka qaul Mere shaikh hazrat mufti ahmad khanpuri ki zaban se farsi me kai baar suna ke
‘’na aankaar kunam na inkaar kunam‘’
yani na ye (jhinga) khane ka kaam me karta hun na kisi ko rokta hun.

lihaza ye haraam wala sms aage bhej kar logon me intishar mat felao, kyun ke social media par har maslak ke log hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...