ZAKAT AUR SADQAH E FITR ME FARQ
⭕AAJ KA SAWAL NO.710⭕
Kaya ye baat saheeh ke jis par zakat wajib nahi us par sadqatul fitr wajib nahi?
🔵JAWAB🔵
Ye baat saheeh nahi. Baaz log galti se ye samajhte he k jis per Zakaat Farz nahi us per Sadqa e fitr bhi waajib nahi, halaanki zakat aur sadqah e fitr ke wjub me do farq hai.jis se malum hota hai ke bahot se aese log bhi hai jin par zakat wajib nahi lekin Sadqah fitr wajib hai
1.bahut se logo per zakaat wajib nahi hoti magar sadqa e fitr waajib hota he kyun ke zakat ke maal par sal pura hona zarooree nahi balke eid ki raat ko nisab jitne maal ka malik ho gaya to bhi sadqae fitr wajib hai
2.zakat ke wajib hone ke liye maal ka tijarat-bechne ki niyyat se khareeda huwa hona zarooree hai zaroorat se zaid aesa mal jo tijarati nahi us par zakat wajib nahi albattah sadqah e fitr wajib hai sadqah e fitr ke wajib hone me zaroorat se zaid tamam maal ko shumar karenge agarche woh mal bechne ki niyyat se na khareedah ho.
📗MASAILE ZAKAT
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment