MASJID KE MASAAIL
⭕AAJ KA SAWAL NO.728 ⭕
Aaj ummat ke bahut se afrad masjid ke masaail se waqif nahin lihaza masjid ke bare kuchh masail paish farmayen.
🔵JAWAB🔵
🌹 Bismihi Ta’aala 🌹
⭕ Masjid Ke Masaail ⭕
🔴 Kisi zameen par Maalik ki ijazat ke bager Masjid, Madarsah banana sahi nahin lihaza qeemat Ada karke jagah ko razaamandi se kharida jaye,
🔵 Masjid ke masarif ke liye kharch karna bhi sadaqah hai,
🔴 Jaan boojhkar galat raqam Masjid ki ta'amir me kharch karne wale log gunahgaar he’n,
🔵 Jo jagah ba-qaa’idah masjid banaa di jaye, woh hamesha masjid hi rahegi, uski haysiyat ko tabdeel karna sahih nahin hai,
🔴 Masjid chahe kachchi ho ya pakki usko ya uske kisi hissah ko hataana aur us jagah ko kisi aur kaam me iste'amaal karna jaa’iz nahin hai,
🔵 Ek Masjid ko aabaad karne ke liye dusri masjid ko munhadam karna ya Taala daalna jaa’iz nahin hai,
🔴 Ta'amiri nuqs se saff me ek taraf namazi bahut kam ho’n to bhi namaz makrooh he,
🔵 Qabristaan me namaz padhna manaa hai, lekin agar aisi masjid ho jiske qareeb qabre ho usme namaz ho jati he,
🔴 Buliding me Jo kamarah (room) namaz ke liye makhsoos kar diya gaya ho uska hukm masjid ka nahin, na usme masjid ka sawaab milega,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 134
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Haqq ka Daayi,
✒TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
No comments:
Post a Comment