⭕AAJ KA SAWAL NO.720 ⭕
Roza todne ke woh kon see sooraten hai jin me qaza ke sath kaffarah bhi dena wajib hai? Aur woh kon see sooraten hai jin me sirf qaza hai kaffarah nahi ?
🔵JAWAB🔵
Woh sooraten jin se kaffarah aur qaza dono wajib hai wo ye hai,
1. ramzan ke adaa roze me bila uzr janbujhkar aesee cheez khana jo giza-khane ke taur par ya dawai ke taur hee khayi jati ho ya kaamil lazzat ke taur par ho istiamal hoti ho kha pee lena ya istiamal karna.
Is maloom huwa ke kachcha khana khane se,bidi pene se,lagane ki dawa nigal jane se, hath se mani nikalne se (aese par allah ki laanat hai),bv se sirf chimtne ya bosa lene sse inzal ho gaya to kaffarah nahi. in cheezon gizaiyat, dawaiyyat, kamil nafa kamil lazzat nahi.
2. janbujh kar sohbat karna.
3.ankh me dawa lagai ya ulti hui fir ye samjhkar ke roza toot gaya halanke in dono Se roza nahi toota tha Fir bhi janbujhkar khaa pee liya.
Woh shaklen jin me qaza hai kaffarah nahi hai wo ye hai,
1. nafal roza, ramzan ka qaza roza Ya kisi sharee uzr jaise bimari, sakht taklif, safar ki wajha se roza tod diya to kaffarah wajib nahi
📗masaile roza
📘ilmul fiqah jild som se makhooz
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
No comments:
Post a Comment