HAJ ME 5 SAL KA QANOON
⭕AAJ KA SAWAL NO.731 ⭕
Haj ke darkhast form me is baat ka bhi iqrar hota hai ke 5 saal ke andar haj na kiya ho,
Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?
🔵Jawab🔵
Haj azeem ibadat hai, jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai,
jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai,
ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi, wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai, pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai, aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai, isliye aesa hargiz na kiya jaye.
📗masaile hajjo umrah safa 45
ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment