Wednesday, June 29, 2016

SADQAH E FITR KA NISAB

SADQAH E FITR KA NISAB

⭕AAJ KA SAWAL NO.708⭕

Sadaqah e fitr kitne nisab par wajib hai aur kitne nisab par nahi?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
      
★ Sone chandi aur maale tijaarat aur ghar me roz marrah istemal ki cheezo se zaa’id samaan ki qeemat laga kar usme naqdi Cash jama ki jaye, in paancho ka majmua ya inme se baaz 87.479 gram Sone ya 612.35 gram Chandi ke barabar ho jaye to sadqa e Fitr waajib he,
★ Teen jode kapdo se zyada libaas aur Radio, TV jesi khurafaat insani hajaat me dakhil nahi, isliye inki qeemat bhi hisaab me lagayi jayegi,

📗Ahsanul fatawa, 1/373

★Kisi ke paas apni Riha’ish ka bada qeemti makaan he aur pehanne ke qeemti kapde he’n, magar inme sachcha gota thappa yani chandi lagi hui nahi he,
neez gharelu samaan he Jo istemal me aata rehta he magar zever aur Rupiya nahi,
ya kuchh samaan zarurat se zayada bhi he aur kuchh Sachcha gota thappa yani chandi ke naqsho nigarwala  kapda aur zever aur Rupiya bhi he magar sabka majmua Saade Bavan tola chandi ki qeemat se kam he to ese shakhs per sadqa tul fitr waajib nahi

📘Fiqhul ibadaat, 302

و اللہ اعلم
✏HAQ KA DAYI ANSAR AHMAD PANJAB

✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, June 27, 2016

*Sadqatul Fitr Kyun* 

*Sadqatul Fitr Kyun* 
⭕AAJ KA SAWAL NO.707⭕

maaldaar par Sadaqa e fitr kyun wajib hai.

🔵JAWAB🔵
                 
★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Rozo ko fizool v la’ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur miskino mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya he,

↳ ®  Sunan Abi Daoud,
★ Faayda: –
is hadees me sadqa e  fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faaydo ki taraf ishara farmaya gaya he,

→Ek yeh ke musalmano ke jashn va masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariyah mohtaajo miskino ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,

→Aur doosre yeh ke zubaan ki be-ahatyatiyo aur be-baakiyo se Roze per Jo bure asraat padte honge yeh sadqa e fitr unka bhi kaffarah aur fidyah ho jayega,

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alayhi wasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he,

→ek saa’a khajoor ya ek Saa'a Jav (barley) aur hukm diya he ke yeh sadqa e fitr Namaz Eid ke liye Jaane se pehle adaa kar diya jaye,
     
M↳® Sahih Bukhari v Muslim, 
↳ Next -2 in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 301
✏ HAQ KA DAAYI ANSAR AHMAD PANJAB

✅TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📲Join,, Telegram Chenal
                   @Aajkasawal 

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, June 25, 2016

AETIKAF KA WAQT, MAKROOOHAT, MUFSIDAT

AETIKAF KA WAQT, MAKROOOHAT, MUFSIDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 706⭕

A.Aetikaf me kya cheezen makrooh hai?
B.Is me kya karna chahiye?
C.kab bethhna chahiye?
D.Khane ke bad hath dhone aetikaf ki jaga se bahar ja sakte hai?

🔵JAWWB🔵

A.Aitkaaf me Dunyawi baten aur be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tahreemee he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna,(Agar gareeb aadmi he ke ghar me khane ko kuchh nahi to us ke intizam me aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he),magar bechne ka samaan masjid me lana jaa’iz nahi,

B. Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi, zikr,tilawat,nawafil namazen,deene kitab parhna ya sunna vagera karna chahiye agar thak jaye to araam ki niyat se chup bethna saheeh he,
C.👉🏼Aetikaf ki jaga se hath dhone bahar aayega to aetikaf toot jayega hath dhone ka intizam balti wagairah ke zariye masjid me karna chahiye.

📗AHSANUL FATAWA 2/502 MASAILE AETIKAF SE MAKHOOZ

D.Ramzan Mubarak ke 10 din kemasnoon aitkaaf karne ke liye zarooree hai k 20 vi islami tareekh ko yani aaj itwar ko suraj guroob hone se pahle masjid me aitkaaf ki niyyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he, ⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga balke nafali iatikaf ho jayega

[Aapke Masail aur Unka Hal,3/322]

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, June 24, 2016

AETIKAF TORNEWALI CHEEZEN

AETIKAF TORNEWALI CHEEZEN

🔴AAJ SAWAL NO.705🔴

1.Mu'atakif bidi cigarette pine ke liye baahar nikal sakta hai?

2.Mu'atakif nafal gusal ya jumaa ka gusal karne ke liye bahar nikal sakta hai?

⭕Jawab⭕

1.Agar aisi aadat ho gayi ho ke uske bagair chen na aata ho ya uske bagair ijabat-pakhana hee na hota ho to nikal sakta hai, lekin peene ke baad munh ki badbu door kare. Aur cigarette, Bidi ke bagair chal sakta hai to na nikle, behtar yeh hai ke peshab-pakhne ki zaroorat ke liye nikle to raste me ya sath me ye zaroorat bhi puri kar le 

📚kitabul fatawa 3/455
fatawa mahmoodiyah 10/239 se makhooz

2. Mu'atakif sirf wajib gusal karne ke liye bahar nikal sakta hai, thandak karne ya sunnat gusal karne ke liye nahin nikal sakta.
📗MASAILE AEATIKAF RAFAT

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, June 23, 2016

AITIKAF KE SHARAIT AUR MASAIL

AITIKAF KE SHARAIT AUR MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL 704⭕ 

Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai?

Bimarpursi karne nikal sakte hai?

Niyyat kese kare?

kya  masnoon aitikaf toot jaye to kitni din ki qaza karni padegi?

Aur chadare (pardah) lagana zarooree hai? 

♻JAWAB♻ 

★ Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha, 

★ muatakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi, ⇨haa! Agar apni qudratee Zaroorat (peshab pakhane) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he, 

★ Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he,wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,

★ Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,

★ Muatakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he, 

★ Aitkaaf me chadar (pardah) lagana zaroori nahi, 

★ Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha, 

★ Har Din ka Aitkaaf ek mustaqil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise Ikhtyar kiya he,

📚Aapke Masail aur U
lnka Hal, 3/323.

✏TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

AETIKAF KI QISME OR TAREEQAH

AETIKAF KI QISME OR TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO. 703⭕

Aitekaf kise kehte hai?
Us ki kitni qismen hai?
Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?

🔴JAWAB🔴

★Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho aetikaf kehte hai.

★Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,

★Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,

★Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe, ★

Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,

★Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,

★1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawquf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.

★2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnate muakkadah alal kifayah hai,yani pure muhalle ki kisi bhi masjid me aetikaf na hoga to pura muhallah gunehgar hoga.har muhalle~chhoti basti ki kisi bhi ek masjid me aetikaf karna zarooree hai.
📘FATAWW DARUL ULOOM JILD 4 SAFA 501 BAHAWALA DURRE MUKHTAR
Ye Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi,

★3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,

★imam abu haneefah r. a. ke shagird Imaam muhammad rh.Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.

📗FAZAILE
RAMAZAN
📔BAHISHTI ZEWAR

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Tuesday, June 21, 2016

SAFAR ME ROZA

SAFAR ME ROZA

⭕SAWAL⭕
SAFAR KI HALAT ME ROZA RAKHNA AFZAL HE YA NA RAKHNA AFZAL HE.? 

♻JAWAB♻
JO AADMI APNE SHAHAR YA GANV KI SARHAD-BORDER SE SAVA SATTTAR (77.25 ) KILOMETRES KE SAFAR KA IRADA KARKE NIKLE WOH SHARAN MUSAFIR HE AUR MUSAFIR KO SAFAR KI HALAT ME ROZA RAKHANE AUR NA RAKHANE DONO KI IJAZAT HE.

AGAR ROZA RAKHNE ME TAKLEEF AUR KAMZORI K ANDESHAA HO YA SATHIYON KO TAKLEEF AUR PARESHANI HOTI HO TO ROZA NA RAKHANA AFZAL HE.

GHAR PAHONCH KAR QAZA KARLE.

*AUR AGAR KAMZORI AUR TAKLEEF KA DAR NA HO TO ROZA RAKHANA AFZAL HE.* 

📚FATAWA RAHIMIYA JILD 4 SAFA 56.

(FATAWA DINIYYA GUJRATI)
TASDEEQ (MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT

Saturday, June 18, 2016

Dawai (medicines) kha kar ayyam (maasik/haiz) rokne wali aurat ka Rozah

💊
Dawai (medicines) kha kar ayyam (maasik/haiz) rokne wali aurat ka Rozah

⭕SAWAL⭕
Ramzaan Sharif me ba'az khawateen Dawai vageirah kha kar apne Ayyam-haiz, m.c. ko rok leti hai,
isi tarha Ramzan Sharif ke purey rozah rakh leti hai Aur fakhriyana batati hai ke hamne purey maah ke roze Rekhe.

kya Aisa karna shar'an jaaiz hai ??

♻Jawab♻

Yeh to waazeh hai ke Jab tak ayyam-haiz shuru nahi hoga Aurat paak hi shumaar hogi, Aur Uska Ramzan ke Rozah rakhna sahih hoga.

Rahaa yeh ke Rokna sahih hai ya nahi ??

To shar'an rokne par koi pabandi to hai nahi, Magar Shart yeh hai ke yeh feal aurat ki sihhat ke liye muzeer-nuqsandenawala ho to jaaiz nahi
(lekin rozah fir bhi adaa ho jayenge, sihhat ko nuqsan pahonchane ka gunah hoga) 

📚Aap k masaail aur unka hal
3/278 se makhooz

NAAPAKI KI HALAT KE ROZA

NAAPAKI KI HALAT KE ROZA

⭕SAWAL NO. 702⭕

AEHTALAM, BIVI SE SOHBAT AUR HAIZ KE BAAD BAGAIR GUSL KE ROZA RAKHNA KESA HAI??
AURAT RAMZANUL-MUBARAK ME SAHARI KE WAQT HAIZ SE PAAK HO GAEE. LEKIN GUSAL NAHI KIYA YA KISI KO AEHTALAM HUWA YA BIVI SE SOHBAT KI AUR GUSAL KARNE ME SEHRI CHHUT JANE KA ANDESHA HO TO KYA YE SAB BAGER GUSAL KE ROZA RAKH SAKTE HAIN YA NAHI.??

♻JAWAB♻

AGAR AURAT SAHARI KA WAQT KHATAM HONE SE KUCHA DER PEHLE PAAK HO GAEE TO USPAR ROZA RAKHANA FARZ HO GAYA.

AUR YE JUNOOBEE NAAPAK HAZRAT BHI WUZU KAR LE TO BEHTAR HAI AUR BAGAIR GUSL KE BHI ROZA SHUROOA KAR SAKTE HAI. 

📚KHAYRUL-FATAWA JILD 4 SAFA 69.
WA UMDATUL FIQAH)

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Wednesday, June 15, 2016

*เคœ़เค•ाเคค เค•े เค†เคธाเคจ เคฎเคธाเค‡เคฒ* *PART-3*

⭕⭕⭕
*ज़कात के आसान मसाइल*
      *PART-3*
⭕⭕⭕

*सवाल - काफिर को जकात देना जाइज है या नहीं?* 
जवाब - जाइज नही

*सवाल - मालिके निसाब जकात की रकम अपने असल यानी की बाप दादा (उपर तक) और इसी तरह अपनी फुरूअ यानी बेटा पोता (नीचे तक) पर खर्च कर सकता है या नही ?*
जवाब - नहीं 

*सवाल - मस्जिद या मदरसा की तामीर, रासता या पुल की तामीर मे जकात दे सकते हैं या नहीं ? *
जवाब - नहीं दे सकते

*सवाल - मैयत को कफनाने या मैयत का कर्ज चुकाने मे जकात की रकम सर्फ करना जाइज है या नहीं ? *
जवाब - जाइज नही

*सवाल - जकात की रकम रिश्तेदारों, पडोसियों पर सर्फ करना कैसा ? *
जवाब - जाइज व बेहतर है

*सवाल - एक ही शख्स को पूरी जकात देना कैसा ?* 
जवाब - मकरूह है

*सवाल - जो जमीन तिजारत के लिये ली जाती है क्या उस पर जकात फर्ज है ? *
जवाब - जी हां 

*सवाल - गैर मुस्लिम गरीब को जकात दी तो अदा होगी या नहीं ? *
जवाब - अदा न होगी

*सवाल - क्या मदरसे के मोहतमिम या नाजिमे आला वगैरा (जो तलबा के वकील होते हैं उन) को जकात दे सकते है ? *
जवाब - हां दे सकते हैं 

*सवाल - मुस्तहिके जकात भाई बहन की शादी मे जकात दे सकते हैं ? *
जवाब - हां दे सकते हैं 

*सवाल - सोने की जकात खरीदते वक्त की कीमत के हिसाब से होगी या मौजुदा कीमत.? *
जवाब - मौजुदा कीमत के हिसाब से

*सवाल - क्या ना बालिग बेटा या बेटी के माल पर भी जकात फर्ज है ? *
जवाब - नहीं 

*सवाल - मस्जिद के इमाम या मुअज्ज़िन की तन्खॉह जकात से दी जा सकती है ?* 
जवाब - नहीं 

*सवाल - क्या लडकी जकात की रकम अपने वालिदैन को दे सकती है ? *
जवाब - नहीं 

*सवाल - क्या सय्यद. सय्यद को जकात दे सकते हैं ?*
 जवाब - नहीं

✏ तस्दीक़ मुफ़्ती  इमरान इस्माइल मेमन सूरत गुजरात

Monday, June 13, 2016

*เคœ़เค•ाเคค เค•े เค†เคธाเคจ เคฎเคธाเค‡เคฒ* PART-2

⭕⭕⭕
*ज़कात के आसान मसाइल*
      PART-2
⭕⭕⭕

*सवाल-जकात कब वाजिब होती है?*
 जवाब - निसाब पर क़मरी (उर्दू) साल गुजर जाये तो जकात वाजिब होती है 

*सवाल-अगर किसी शख्स का किसी फक़ीर (गरीब) पर कर्ज हो और वो उसे जकात की निय्यत से माफ करदे तो जकात अदा होगी या नही ?* 
जवाब - जी नहीं 

*सवाल - सोना चांदी की जकात मे सोना चांदी का तुकडा ही देना होगा या उसकी रकम.?*
जवाब - इख्तियार है

*सवाल - मसारिफे जकात मे फकीर किसे कहते हैं?*
जवाब - वो शख्स जो निसाब से कम का मालिक हो. 

*सवाल - मसारिफे जकात में मिस्कीन किसे कहते हैं?* 
जवाब - जो बिल्कुल किसी चीज का मालिक न हो 

*सवाल - मसारिफे जकात में आमिल किसे कहते हैं ?* 
जवाब - वो शख्स जिसे बादशाहे इस्लाम ने जकात व उश्र वसूलने पर मुक़र्रर किया हो 

*सवाल - मसारिफे जकात मे मकरूज किसे कहते है?* 
जवाब - जिसके जिम्मे कर्ज हो. कर्ज की अदायगी के बाद निसाबे कामिल का मालिक न रहता हो 

*सवाल - मसारिफे जकात मे फी सबीलिल्लाह से क्या मुराद है?* 
जवाब - ये वो लोग होते हैं जो अल्लाह की राह मे लगे होते हैं. या वो हुज्जाज जो हज के लिये तो निकले मगर जादे राह के खत्म होने से काबतुल्लाह तक न पहुंच पाये. इसी तरह राहे खुदा के मुजाहिद

*सवाल - मुसाफिर पर जकात की कितनी रकम खर्च की जाये ?*
जवाब - इतनी रकम की वो अपने वतन आसानी से पहुंच जाये

✏ तस्दीक़ मुफ़्ती  इमरान इस्माइल मेमन सूरत गुजरात

(Baaqi part 3 me inshaAllah)

เคœ़เค•ाเคค เค•े เค†เคธाเคจ เคฎเคธाเค‡เคฒ*   PART-1

⭕⭕⭕
*ज़कात के आसान मसाइल*
  PART-1
⭕⭕⭕

*सवाल- जकात के लुगवी मानी क्या हैं ?*
जवाब- पाकी, बडोतरी

*सवाल- जकात की शरई तारीफ.?* 
जवाब- मखसूस माल का मखसूस शराइत के साथ. किसी जकात के मुस्तहिक को मालिक बनाना

*सवाल-कितना सोना हो तो जकात फर्ज होती है?* 
जवाब- साढे सात तोला या उस से ज्यादा

*सवाल-कितनी चांदी हो तो जकात फर्ज होती है ?*
जवाब- साढ़े बावन तोले या उससे अधिक 

*सवाल - कितने रुपिये हो तो जकात फर्ज होती है *
जवाब- हाजते असलिया के इलावा साढ़े बावन तोले चांदी की कीमत हो तो जकात फर्ज होती है 

*सवाल- हाजते असलिया के इलावा. कुछ सोना. कुछ चांदी. कुछ नगद हो. और सबको मिलाने पर चांदी का निसाब पूरा हो तो क्या जकात फर्ज होगी ? *
जवाब- जी हां

*सवाल - क्या चरने वाले जानवरों की जकात फर्ज है ? *
जवाब - जी हां 

*सवाल - क्या उशरी (बागायत) जमीन की पैदावार पर भी जकात है ?* 
जवाब - जी हां 

*सवाल - किसी साहिबे निसाब को दर्मियानी साल 35000 की आमदनी हुई तो क्या ये रकम भी माले निसाब मे शामिल होगी ?* 
जवाब - जी हां 

*सवाल - इस्तिमाल वाले जेवरात पर जकात है या नही ? *
जवाब - जी हां है

*सवाल - जकात अंग्रेजी महीने के हिसाब से निकाली जाये या कमरी (उर्दू)? *
जवाब - कमरी (उर्दू) महीने के हिसाब से 

*सवाल - बेचने की निय्यत से करीदे गये प्लॉट पर जकात वाजिब होगी ? *
जवाब - जि हां वाजिब होगी

*सवाल - प्लॉट खरीदते वक्त बेचने की निय्यत न थी. बाद मे बेचने का इरादा हुवा तो उस पर जकात वाजिब होगी या नही ? *
जवाब - जब बिक जाये तो वाजिब होगी

*सवाल - जो प्लॉट मकान बनाने के लिये खरीदा गया हो उस पर जकात है या नही ? *
जवाब - जी नहीं 

*सवाल जो मकान किराया पर दिया उसकी जकात का क्या हुक्म है ? *
जवाब - उसका किराया निसाब को पहूंचे तो उसकी जकात वाजिब होगी

*सवाल - किसी को बताये बगैर उसे जकात दें तो जकात अदा होगी या नही ? *
जवाब - अदा हो जायेगी

*सवाल- मुलाज़िम ने इजाफी तनखॉह मांगी. मालिक ने जकात की निय्यत से इजाफा किया तो क्या मालिक की जकात अदा होगी ? *
जवाब - जकात अदा न होगी

*सवाल - इनकम टॅक्स देने से जकात अदा होगी ? *
जवाब - जी नहीं 

*सवाल - क्या अपने मां बाप, बेटा बेटी को या शोहर बीवी एक दुसरे को जकात दे सकते हैं ? *
जकात - जी नहीं 

*सवाल - साहीबे निसाब को जकात देने से जकात अदा होगी ? *
जवाब - नहीं 

*सवाल - भाई बहन चचा भतीजे मामू भांजे खाला को जकात देना कैसा ? *
जवाब - जाईज व बेहतर

*सवाल - किसको जकात नही दे सकते? *
जवाब - हुजूर अलैहिस्सलाम के खानदान (हाशमी हजरात) को जकात नही दे सकते. इसी तरह जो हजरते अली, हजरते अक़ील, हजरते जाफर, हजरते अब्बास और हारिस बिन अब्दुल मुत्तलिब की नस्ल से हो उसे जकात नही दे सकते

*सवाल - अगर सय्यद (बज़ाहिर) गरीब और जरूरतमंद हो तो उनकी खिदमत कैसे करें? *
जवाब - तोहफे और हदिया के जरीये (सय्यदों को जकात सदका न दें. और कोई सय्यद हरग़िज जकात सदका न लें) 

*सवाल - सय्यदों को जकात क्यों नही दी जाती? *
जवाब - वो आली नसब हैं और जकात माल का मैल होता है

*सवाल - मालदार बीवी का शोहर दूसरे से जकात ले सकता है या नही? *
जवाब - ले सकता है 

*सवाल - गैर मुस्लिम को जकात दे सकते हैं? *
जवाब - नही

*सवाल - दीनी मदरसों मे जकात देना जाइज है या नही? *
जवाब - जाइज व बेहतर है

*सवाल - साहिबे निसाब लोग खुद को मोहताज जाहिर करके जकात वसुलते हैं उन पर क्या हुक्म है ? *
जवाब - उनको जकात लेना हराम है

*सवाल- बारिश के पानी से सैराब जमीन की पैदावार पर कितना हिस्सा अल्लाह की राह मे देना वाजिब है ? इसी तरह खूद सैराब की हुई जमीन की पैदावार पर कितना कितना हिस्सा वाजिब है ? *
जवाब - बारिश के पाणी की पैदावार पर दसवां हिस्सा.यअनी दस पर एक किलो
और खुद सैराब की गई जमीन की पैदावार पर बीसवां हिस्सा यानी बिस किलो पर   एक किलो
सवाल* इसी पैदावार के पैसे की ज़कात भी देनी पड़ेगी
जवाब*नहीं  फिर ज़कात देनी की ज़रुरत नहीं
*सवाल - हाजते असलिया किसे कहते हैं.? *
जवाब - रिहाइशी मकान, पहनने के कपडे, घर का जरूरी सामान, खाने पीने की अशिया, सवारी, आलिम की किताबें 
✏ तस्दीक़ मुफ़्ती  इमरान इस्माइल मेमन सूरत गुजरात
(Baaqi part 2 me inshaAllah)

Saturday, June 11, 2016

ROZE ME JAIZ KAAM

ROZE ME JAIZ KAAM

⭕AAJ KA SAWAL⭕
Wo Cheezen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain?  

♻JAWAB♻

1- taza Miswaak karna 

2- Sar ya Munchho per Tel lagana

3- injection ya teeka lagwana, 

4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana

5- Khushbu lagana,

6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho

7- Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna

8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,

9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho 

10 - Sote hue ahatlaam ho Jana

11- Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye

12. dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona

13. Phool ya itr ki khushbu sunghna

14. bhiga huwa rumal sar par lapetna

15. bimari ki wajha se gulucoz, blud chadhana

16. oxizon lena

17. naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye

18. raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena 

19. thuk, balgam nigalna

20. paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana

21. bila ikhtitar khud ba khud traffic, khane, loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana

22. kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana

23. baam ya cream lagana

24. badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna

25. kamzor admi ka bv ko buri nazar se dekhne ya bv se sohbat ke tasawwur ki wajha se inzal-mani ka nikal jana. Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga

26. bv ko bosa lena

27. miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho

28. zere naaf ya bagal ke baal katna

29. heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna basharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.

30. khun test karana

31. dayalisis karana 

32. janabat ki halat me sahri karna aur subsh sadiq ke baad gusl karna

33. nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kan me chala jana

34 . kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade

35. gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye

36. pichhe ke raste me masse par ya zakham par dawai lagana

37. sahri ka waqt khatm hone aelan ya roze ke time table ke waqt ke baad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya. lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah hai.

📚kitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa 

📚masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, June 10, 2016

IFTAR KIN CHEZON SE KAREN

IFTAR KIN CHEZON SE KAREN

⭕AAJ KA SAWAL NO702⭕

Huzoor صلی الله عليه وسلم Kin chizon se Iftaar farmate aur kin chizon se Iftar karna makruh hai? 

🔵JAWWB🔵

Aap صلی الله عليه وسلم aag se paki hui chizo se iftaar shuru na Farmate

Hazrat Anas rd. Farmate hai ke
Aap صلی الله عليه وسلم Khajoor se iftaar Farmate Ya Fir aisi chiz se Jo aag se paki huyi na ho
Masalan Paani Doodh Chhuaare (dry dates) Wagairah

📗Musnade Abi Yaala
📘Majmuaa/185
📙Sabilhudaa/8/415
📔Targeeb/1420 

Paki huyi chiz se go iftaar karna jaaiz hai Par Sunnat ke khilaaf hai

Aap صلی الله عليه وسلم khajur, Doodh aur paani se iftaar ka Shuruaat farmate

Arbaabe Tahqeeq ne zaahir kiya hai ke Khususan garmi ke zamaane me na khane aur pine ki wajah se jigar me khushki paida hoti hai Is liye Behtar ye hai ke paani ke chand ghunt se jigar ko tar kar liyaa jaye, Tab pet me koi gizaa dali jaae
واللہ اعلم

TASDEEQ
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

IFTAR KIN CHEZON SE KAREN

IFTAR KIN CHEZON SE KAREN

⭕AAJ KA SAWAL NO702⭕

Huzoor صلی الله عليه وسلم Kin chizon se Iftaar farmate aur kin chizon se Iftar karna makruh hai? 

🔵JAWWB🔵

Aap صلی الله عليه وسلم aag se paki hui chizo se iftaar shuru na Farmate

Hazrat Anas rd. Farmate hai ke
Aap صلی الله عليه وسلم Khajoor se iftaar Farmate Ya Fir aisi chiz se Jo aag se paki huyi na ho
Masalan Paani Doodh Chhuaare (dry dates) Wagairah

📗Musnade Abi Yaala
📘Majmuaa/185
📙Sabilhudaa/8/415
📔Targeeb/1420 

Paki huyi chiz se go iftaar karna jaaiz hai Par Sunnat ke khilaaf hai

Aap صلی الله عليه وسلم khajur, Doodh aur paani se iftaar ka Shuruaat farmate

Arbaabe Tahqeeq ne zaahir kiya hai ke Khususan garmi ke zamaane me na khane aur pine ki wajah se jigar me khushki paida hoti hai Is liye Behtar ye hai ke paani ke chand ghunt se jigar ko tar kar liyaa jaye, Tab pet me koi gizaa dali jaae
واللہ اعلم

TASDEEQ
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Wednesday, June 8, 2016

ROZE KE KAFFARAH KI SHAKLEN

ROZE KE KAFFARAH KI SHAKLEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.701⭕

Roza torhne ke woh kon see sooraten hai jin me qaza ke sath kaffarah bhi dena wajib hai? Aur jin sooraton me sirf qaza hai kaffarah nahi?

🔵JAWAB🔵

Woh sooraten jin se kaffarah aur qaza dono vajib

1.ramzan ke adaa roze me bila uzr janbujhkar aesee cheez khana jo giza-khane ke taur par ya dawai ke taur hee khayi jati ho ya kaamil lazzat ke taur par ho istiamal hoti ho kha pee lena ya istiamal karna.

Is se maloom huwa ke kachcha khana khane se,bidi pene se,lagaane ki dawa nigal jane se, hath se mani nikalne se (aese par allah ki laanat hai),bv se sirf chimtne ya bosa lene sse inzal ho gaya to kaffarah nahi.
in cheezon gizaiyat,dawaiyyat, kamil nafa,kamil lazzat nahi hain

2.janbujh kar sohbat karna.

3.ankh me dawa lagai ya ulti hui fir ye samjhkar ke roza toot gaya halanke in dono Se roza nahi toota tha Fir bhi janbujhkar khaa pee liya

🔴Woh shaklen jin me qaza hai kaffarah nahi.

1.nafal roza, ramzan ka qaza roza Ya kisi sharee uzr jaise bimari, sakht taklif, safar ki wajha se roza torh diya to kaffarah wajib nahi sirf qaza roza rakhe

📗masaile roza

📕ilmul fiqah jild som se makhooz

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, June 6, 2016

AAJ KI ACCHI BAAT

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj Ki Achchi Baat* 🔆 🔅

🔸🌟🔸 [06-06-2016] 🔸🌟🔸

🌿 Khushi ek Aesi cheez hai Jo,,

🍁 Aapke pas na hone ke bawajud
        bhi Aap chaho to doosron ko
                     de sakte ho...

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂

SURAH E QADR KA WAZEEFA

SURAH E QADR KA WAZEEFA

🔴AAJ KA SAWAL NO. 700🔴

Ramzan, ki Chand Raat ko, Magrib ki Namaz ky Bad, 21 Martaba, "Surah.e.QADAR"
(Inna-Anzalnaa HU) Parho.

Poore Saal RIZQ Aapke pechay is tarha se Daude Ga, jaise Paani Nasaib ki taraf Daudta hai.
Insha ALLAH.

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Aesee cheezen Amaliyat ke qabeel se hoti hai baz hazraat ka tajrabah hota hai quraan ki taseer se inkar nahi kar sakte hai ye fazeelat hadees se sabit nahi koi parhna chahe to bataure wazeefa padh sakta hai amiliyat jitne yaqeen se karte hai utni hee taseer badh jati hai isliye us ke faidah ko badha chadha kar bayan kiya jata hai yahan bhi aesa hee huwa hai.
asal rozi ki barkat aur wusa'at ke liye wohi aamal hai jo quraan wa hadees se sabit hai masalan taqwa y'ani tamam gunahon se bachna, 5 waqt ki namaz ka aehtamam, maa bap aur rishtedaron ke sath jod aur achchha sulook,sadqah,haj umrah istigfar ki kasrat wagairah aamal ka aehtamam is se bhi behtar hai.

📗 RIZQ KI KUNJIYAN SE MAKHOOZ
و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
👉🏻www.aajkasawal.page.tl
💐Alhandulillah 700 sawal jawab allah taala ne mukammal karaye duaa kara ke allah taala ummat ko faidah pahonchaye aur ahqar aur us ke walidain ke liye sadqah e jariyah aur najat ka zareeyah banaye.
Not. Ramzanul mubarak ka maheena aa chuka hai tilawat me zayadah se zyadah waqt lagane ka hamare akabeer ka mamool hai lihaza aaj ka sawal ka silsilah bandh rahega aur ramzan baad shurooa hoga اِ نْ شَآ ءَ اللّه

Sunday, June 5, 2016

ROZE KI NIYYAT

ROZE KI NIYYAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.698⭕

ROZE KI NIYYAT APNI ZUBAN ME JAISE GUJARATI URDU ENGLISH WAGERA ME KAR SAKTE HAIN.?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

ROZE KI NIYYAT ME ZUBAN SE BOLNA ZARURI NAHI HE SIRF DIL KA IRADA KAFI HE.
APNI ZUBAN JESE GUJARATI URDU YA ENGLISH ME BHI KAHE TO BEHTAR HE MANA NAHI HE.

(FATAWA RAHIMIYA JILD 4 SAFA 56.)
و اللہ اعلم

✏TASDEEQ
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
   

Friday, June 3, 2016

TARAWEEH KE MASAIL

TARAWEEH KE MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.697⭕

Ramzan qareeb hai lihaza taraweeh ke aham masail kya hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Taraweeh ke aham masai hasabe zail hai.

♻(1) MAS'ALA:-
TARAWEEH KI NAMAZ SUNNATE MUEQQIDA HE, BINA UZR OR MAJBURI KE CHHODNE WALA SAKHT TAREEN GUNEHGAR HOGA.

📚(FATAWA DARUL ULOOM4/281) 

♻(2) MAS'ALA:-
TARAWEEH KI NIYYAT

1. HAR DO RAKAT KI ALAG ALAG KARE, JAISE ME DO RAKAT NAMAZE TARAWEEH, SUNNATE MUAQQIDA PADTA HUN, IS IMAAM KE PICHE, ALLAH KE WASTE, MERA MUH QIBLE KI TARAF,

2. BIS RAKAT KI NIYYAT EK SAATH JAISE ME BIS(20) RAKAT TARAWEEH KI SUNNATE MU'QQADA PADHTA HUN, DAS (10) SALAMO KE SATH, MERE IMAAM K PICHHE, ALLAH K WASTE, MERA MUH QIBLE KI TARAF.

📚(FATAWA RAHIMIYA6/238) 

♻(3) MAS'ALA:-
AGAR KISI SHAKHS KI TARAWEEH KI KUCH RAKAT CHHUT GAYI HO, TO AGAR DARMIYAN ME MOKA MILE TO PADH LE, WARNA IMAM KE SATH SHARIK HO JAYE, OR WITR BHI IMAM KE SATH PADH LE, PHIR CHHUTI HUWI RAKATO KO PURA KARE.

📚(FATAWA DAARUL ULOOM4/260)
و اللہ اعلم
✏ TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, June 2, 2016

Taraveeh me jab hafiz niyat bandhkar Qirat karte hai to aksar namazi pichhe yuhi bethe rehte hai, ya tahalte rehte hai,

⭕AAJ KA SAWAL NO.696⭕

Taraveeh me jab hafiz niyat bandhkar Qirat karte hai to aksar namazi pichhe yuhi bethe rehte hai, ya tahalte rehte hai, aur jese hi hafiz ruku me jata he,ye log jaldi jaldi niyat baandhkar namaz me shamil ho jate hai,,, inka ye fayl( Kaam ) kesa he????

🔵JAWWB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
★ Taraveeh me ek baar poora Quran majeed sunna Zaroori he, aur sunnate moakada he,
⇨Jo log imam ke saath shareek nahi hote unse utna hissa Qurane majeed ka Faut ho jata he, isliye ye log na sirf ek sawab se mahroom rehte hai balki nihayat makrooh kaam karte hai,
→kyuki inka ye kaam Qurane Kareem se eraaj-munh modne ke mushabe he aur ye susti ka tareeqah qurane kareemn ke mutabiq munafiq ka tareeqah hai."jab woh namaz ke liye khade hote hai to susti se khade khote hai logon ko dikhawah karte hai aur allah ka zikr thoda hee karte hai.

📘SURAH E NISAA AYAT NO.142

📗 Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 64

و اللہ اعلم

✏ANSAR AHMAD COTA PANJAB

✒TASDEEQ WA IZAFA IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...