IFTAR KIN CHEZON SE KAREN
⭕AAJ KA SAWAL NO702⭕
Huzoor صلی الله عليه وسلم Kin chizon se Iftaar farmate aur kin chizon se Iftar karna makruh hai?
🔵JAWWB🔵
Aap صلی الله عليه وسلم aag se paki hui chizo se iftaar shuru na Farmate
Hazrat Anas rd. Farmate hai ke
Aap صلی الله عليه وسلم Khajoor se iftaar Farmate Ya Fir aisi chiz se Jo aag se paki huyi na ho
Masalan Paani Doodh Chhuaare (dry dates) Wagairah
📗Musnade Abi Yaala
📘Majmuaa/185
📙Sabilhudaa/8/415
📔Targeeb/1420
Paki huyi chiz se go iftaar karna jaaiz hai Par Sunnat ke khilaaf hai
Aap صلی الله عليه وسلم khajur, Doodh aur paani se iftaar ka Shuruaat farmate
Arbaabe Tahqeeq ne zaahir kiya hai ke Khususan garmi ke zamaane me na khane aur pine ki wajah se jigar me khushki paida hoti hai Is liye Behtar ye hai ke paani ke chand ghunt se jigar ko tar kar liyaa jaye, Tab pet me koi gizaa dali jaae
واللہ اعلم
TASDEEQ
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment