*Sadqatul Fitr Kyun*
⭕AAJ KA SAWAL NO.707⭕
maaldaar par Sadaqa e fitr kyun wajib hai.
🔵JAWAB🔵
★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Rozo ko fizool v la’ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur miskino mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya he,
↳ ® Sunan Abi Daoud,
★ Faayda: –
is hadees me sadqa e fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faaydo ki taraf ishara farmaya gaya he,
→Ek yeh ke musalmano ke jashn va masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariyah mohtaajo miskino ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,
→Aur doosre yeh ke zubaan ki be-ahatyatiyo aur be-baakiyo se Roze per Jo bure asraat padte honge yeh sadqa e fitr unka bhi kaffarah aur fidyah ho jayega,
★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alayhi wasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he,
→ek saa’a khajoor ya ek Saa'a Jav (barley) aur hukm diya he ke yeh sadqa e fitr Namaz Eid ke liye Jaane se pehle adaa kar diya jaye,
M↳® Sahih Bukhari v Muslim,
↳ Next -2 in sha Allah ta’ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 301
✏ HAQ KA DAAYI ANSAR AHMAD PANJAB
✅TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
📲Join,, Telegram Chenal
@Aajkasawal
💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment