Saturday, June 11, 2016

ROZE ME JAIZ KAAM

ROZE ME JAIZ KAAM

⭕AAJ KA SAWAL⭕
Wo Cheezen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain?  

♻JAWAB♻

1- taza Miswaak karna 

2- Sar ya Munchho per Tel lagana

3- injection ya teeka lagwana, 

4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana

5- Khushbu lagana,

6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho

7- Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna

8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,

9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho 

10 - Sote hue ahatlaam ho Jana

11- Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye

12. dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona

13. Phool ya itr ki khushbu sunghna

14. bhiga huwa rumal sar par lapetna

15. bimari ki wajha se gulucoz, blud chadhana

16. oxizon lena

17. naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye

18. raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena 

19. thuk, balgam nigalna

20. paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana

21. bila ikhtitar khud ba khud traffic, khane, loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana

22. kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana

23. baam ya cream lagana

24. badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna

25. kamzor admi ka bv ko buri nazar se dekhne ya bv se sohbat ke tasawwur ki wajha se inzal-mani ka nikal jana. Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga

26. bv ko bosa lena

27. miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho

28. zere naaf ya bagal ke baal katna

29. heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna basharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.

30. khun test karana

31. dayalisis karana 

32. janabat ki halat me sahri karna aur subsh sadiq ke baad gusl karna

33. nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kan me chala jana

34 . kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade

35. gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye

36. pichhe ke raste me masse par ya zakham par dawai lagana

37. sahri ka waqt khatm hone aelan ya roze ke time table ke waqt ke baad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya. lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah hai.

📚kitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa 

📚masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...