⭕AAJ KA SAWAL NO.725 ⭕
Huzoor ﷺ ko apni qabr shareef me koi khas hayaat hasil hai ? ya aam musalmanon ki tarah barzakhi hayaat hai ?
🔵JAWAB🔵
Hamare ulamaa wa mashaikh ke nazdeek Huzoor ﷺapni qabr mubarak me zindah hai aur Aap ki hayaat duniya jaisi hai aur yeh hayaat Huzoor ﷺ aur tamaam ambiyaa aur shuhadaa ke sath makhsoos hai.
yeh hayaat barzakhi nahin hai jo hasil hai tamaam musalmano balke sab admiyon ko.
Allamah suyooti rh. ne apne risalah anbaaul azkiyaa bihayaatil ambiyaa me saaf likha hai ke allamah taqreeyuddeen subki rh. ne farmaya ke, anbiyaa wa shuhdaa ki qabr me hayaat aisi hai jaisi duniya me thi aur Musa a.s. ka apni qabr me namaz parhne ki Muslim shareef ki riwayat us ki daleel hai, kyun ke namaz zindah jism ko chahti hai ..
To is se sabit huwa ke Huzoor ﷺ qabr ki hayaat dunyawi hai aur is ma'ane me barzakhi hai ke woh alame barzakh me hasil hai,
aur hamare buzrug Hazrat maulana Qaasim nanotwi rh. ka is bahas me ek mustaqil risalah-chhoti kitab nihayat barik bahas wala aur anokhe andaz ka chhap kar logon me shayea ho chuka hai.us ka naam 'aabe hayat' hai.
📗AQAIDE ULAMAA E HIND ULAMAYE HARMAIN KI TASDEEQAT KE SATH SAFA 11,12
📘FAZAILE AMAL 1/689
📙FAZAILE DUROOD SHAREEF SAFA 38
Sahih aqaaide ulamaa e dewband janne is kitab ko downloaded karo, jo al muhannad hi ka tarjama hai.
Google par likho
Aqaide ulama e hind
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat, India.
No comments:
Post a Comment