ALLAH KA ARSH PAR BAITHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.727⭕
Kya kehte ho Haq Ta'ala ke is qism ke qaul me ke
Rahman arsh par mustaei Huwa (Baithna) hai,
kya jaiz samjhte ho Bari Ta'ala ke liye jihat wa makaan ka sabit karna?
is bare me kya aqeedah hai?
🔵JAWAB🔵
Is qism ki aayat (Allah ka haath paanv,chehrah) me hamara mazhab yeh hai ke un par iman laate hain, aur Us ki kaifiyat se bahas nahin karte (ke Allah ka baithna Us ka haath wagairah kaisa hai) yaqeen jante hai ke Allah Ta'ala makhlooq ke awsaf se paak aur nuqs wa hiddat- ki alaamat se khaali hai jaisa ke hamare mutaqaddimeen -purane ulama-akabireen ki raay hai.
aur hamare mutakhkhireen imamon ne lugat ke aetibar se saheeh aur jaiz taweelen farmayi hai, taa ke zahan samjh len,
masalan ISTAWAA se murad galib aana aur hath se murad qudrat,madad, to ye bhi hamare nazdeek haq hai,
alabttah jihat-simt-disha aur makan (Allah ke rehne ki jaga) ham Allah Taala ke liye sabit karna jaiz nahi samjhte, aur yun kehte hai woh jihat aur makan aur tamam alamate hudoos-fana honewali-makhlooq ki alaamat se paak aur saaf hai.
📗AQAIDE ULAMAA E DEWBAND SAFA 16
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
No comments:
Post a Comment