QARZA ADA KARNE SE PEHLE HAJ
⭕AAJ KA SAWAL NO.733 ⭕
1.
Qarz-daar ka haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur
2.
Qarz-daar ka nafli haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur
3.
Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..?
🔵AL JAWAB🔵
1.
Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur wo baa-khushi haj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur wo ijazat de den to wo shakhs haj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko takeed kar den ke agar meri mout ho jaye aur mere zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunzaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf kara dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che fariza adaa ho jayega, Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunzaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baqi rakhkar wahan lambi chodi khareedee karne ki ijazar qarz khaah ne nahi dee hoti hai.us ki ijazat alag len)
Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai.
2.
Jo shakhs farz qarz adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar ye hai ke qarza adaa karey,(is bare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil gareebee ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.
📕[fatawa raheemiyah 8/282, ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191]
3.
Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahi, aise qarzon ki wajah se haj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahi kiya jayega.
📗[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.]
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment