Monday, August 8, 2016

HAJI KITNI QURBANI KARE ?

HAJI KITNI QURBANI KARE ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.746 ⭕

Jo log haj me jate hai un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ?? 

🅾Jawab🅾

Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne ghar per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi,Agar haji haj ke dino ko milakar 15 din makkah me theherne wala he to agar wo maaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare, chahe apne ghar per karwa le (Hajj ki qurbani alag he, us ka masala alag he.)
(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran karte hai un per haj ki qurbani to wajib hai hi our agar wo maaldaar our muqeem hai to un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi)
Aur agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi.

Note:  jadeed zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdalifa ab makkah ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din ho jayenge to wo muqeem kehlayega aur maldari ki qurbani wajib hogi.

📚Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...