*AURATON KA HAJJ AUR MAHRAM*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 741⭕
1⃣ Aurat ko hajj ke safar ke baarey me kya hukm hai..?
2⃣ Mahram kise kehte hain?
🅾JAWAB🅾
1⃣ Aurat ke liye bageir mahram ke safar karna shar’an jaaiz nahin hai, isliye woh hajj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske saath koi mahram hajj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se hajj kar rahaa ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahaan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taaqat ka ek hissah hai, agar mahram na mile raastae me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatarah ho to hajj ki taaqat nahin samjhi jaayegi.
📚ma’riful quran-2/122 se maakhuz
2⃣ Mahram se murad woh shakhs hai jiske saath nikaah zindagi ke kisi bhi waqt me haraam ho, chaahe nasab ki wajah se, ya susrali ya doodh ke rishtah ki wajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, yeh sab mahram hai, neez mahram ka mu’atamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitne aur shahvat ka khatarah na hona bhi shart hai.
📚fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj
Aurat ke liye khalu [maasa], fufaa, apne shohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,(bhaijan)Dewar, jeth, mahram nahin hai.
📚fatawa rahimiyah-8/307][aap ke masail 4/84 se maakhuz
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj ka Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment