Monday, July 10, 2017

SHAK SE WUZU TOOTNA

*SHAK SE WUZU TOOTNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1068⭕

Pet me Qaaqar - gud gud hokar wuzu tootne ka waham aur shak ho jaaye to wuzu tootega ya nahin?

Aisi haalat me namaz ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Puchhi hui soorat me is tarah ke waswase aur shak se wuzu hargiz nahin tootta jab tak reeh (hawa) khaarij hone ka yaqeen na ho jaaye aawaz sun le ya badbu aa jaaye matlab yeh ke kisi tarah yaqeen ho jaaye ke hawaa nikal gayi, jab tak shak rehta hai wuzu nahin tootta hai namaz durust aur saheeh ho jati hai

(JAB BHI NAMAZ SHUROOA KARTE HAIN TAB HI AGAR WUZU TOOTNE KA SHAK AUR WASWASA AATA HO US KE ALAWAH DUSRE WAQTON ME AISA WASWASA NAHIN AATA HAI TO YEH SHAITAN KI TARAF SE HAI. US PAR BILKUL DHIYAN NAHIN DENA CHAHIYE

🖋AZ AHQAR )

📗MASAILE WUZU SAFAA 80 BAHAWAALA

📕FATAAWA RASHEEDIYAH 1 /283

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
www.aajkasawal.page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...