*GAREEB KE HAJJ KA HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1073⭕
A.
Mene gareeb hone ki haalat me qarza aur chanda kar ke hajj kiya tha ab me alhamdulillah maal daar ho gaya hun to Kya mujh par dobara hajj farz hai?
B.
Mere dost ko un ke walid sahab ne hajj karwaya tha ab woh alag hone ke baad apni kamai se maal daar ho gaya hai to dobarah hajj farz hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Dono surat me gurbat ki haalat me jo hajj ada kiya us se haj ka fareezah adaa ho gaya kyun ke woh pehla hajj qudrat hasil ho jane ki wajha se farz hi tha ab dobarah haj farz nahin
📗FIQHI ZAWAABIT SAFA 130 BA HAWALA
📕HINDIYAH 1/217
📘SHAMI 3/461
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲http://www.aajkasawal.page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment