Tuesday, July 25, 2017

BADON KI SAF ME BACHCHON KA HUKM

*BADON KI SAF ME BACHCHON KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1083⭕

Badon ki saf me bachchon ko khada karna kaisa hai? kitne sal ka bachcha khada ho sakta hai aur kitne sal ka nahi?
Bachcha balig ke sag khada ho to un pichhe namaz padhnewale balig ko namaz makrooh hogi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar bachche ek do ho chahe woh kisi bhi umr ke ho ba sharte woh wuzu namaz ko janta ho ya un ke alag khada karne me is baat ka andesha ho ke woh ek jagah ho kar shararrat karenge aur badon ki namaz me khalal waqea hoga (ya isee tarah eidain, haram wagairah me bachchon ki saf alag banane me bade majmea me gum ho jaane ka khatrah wagairah ho to) bachchon ko badon ki saf me khada karne ki gunjaish hai.is se pichhe namaz padhnewale balig mardon ki namaz koi karahat-kharabi nahi aati.
Agar bachche zayada ho to un ki mustaqil saf baligon ke pichhe bananai chahiye.

📗KITABUL MASAIL. 1/403
📘KITABUN NAWAZIL
7/102 SE 107 MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...