Monday, July 3, 2017

AURAT KE LIYE HAJ KA HUKM

*AURAT KE LIYE HAJ KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1061⭕

Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee  tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi. 

📚ma’riful quran-2/122 se maakhuz

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Subscribe Our Youtube Channel

Www.youtube.com/BayanatPost

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...