Friday, July 28, 2017

MASJID ME JAGAH ROKNA (reserve)

*MASJID ME JAGAH ROKNA (reserve)*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1086⭕

Masjid Ya eidgah ki pehli saf me rumal se jagah rokna kaisa hai agar jagah rok kar dukan par ya ghar par chala jaaye to kya hukm hai?

B
Koi shakhs kisi aur shakhs ke liye jagah rok sakta hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Agar koi shakhs apni jaga par aakar beth gaya tha fir kisi fori zaroorat ke liye wahan se uthne ki naubat aayi jis ko pura karte Hi lot Aayega. masalan thumbs, naak saf karne ya wuzu istinjaa karne jaye aur koi cheez rumal wagairah rakh Kar jaye aur apni is zaroorat ki pura kar ke aajaye to us ka jaga ka woh mustahiq hai kisi ki us jaga beth jana bilkul munasib nahi.

Agar koi shurooa hi se kapda wagairah rakh de aur apne karobar me mashgul rahe aur namaz ke waqt aakar apni jaga par qabzah jamaye ye bilkul hi na munasib harkat hai aesi halat me dusre shakhs ko tangi ki wajha se jaga mayassar na aaye to us kapde ko hatakar bethna durust hai.

📘(FATAWA MAHMOODIYAH 6/195 PURANI
B.
kisi ke liye kisi shakhs ke liye jaga rokne ka koi haq nahi. Sab se pehle Jo shakhs jis jaga par aakar beth jaye woh jaga usi ko hai us jaga de is ko uthane ka kisi ko haq nahi.
📗FATAWA MAHMOODIYAH 10/153

📕AHSANUL FATAWA 6/457

📘MASAILE MASAJID SAFA 183 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www.aajkasawalgujarati.page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...