*GADIWALE KA RISHWAT DENA*
Police wale gaadi pakad le to rishwat dene ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Agar kisi ke paas license, gaadi ke kagzat, wagairah zaruri kagazat na ho ya ijazat se ziyadah musafir ko sawar kiya ho, no parking, one way wagairah koi qanoon tode aur police gaadi rok le aur chalan-memo banaye to us waqt qanoonee jurmanah se bachne ke liye rishwat dena na Jaiz hai rishwat lene aur denewala sakht gunehgar honge
Haan sab zaruri kagzat mavjood hai trafic ka koi qanoon nahin toda fir bhi bila Wajah tang aur pareshan kare aur bila paise liye na chhode ya chalan-memo banaa de to us waqt un ke is zulm se bachne ke liye majbooran rishwat deni pade to is ki gunjaish hai is surat sirf rishwat denewala gunehgar nahin lekin police wale gunehgar hain un ke liye yeh rishwat ka paisa haraam hai.
📗JADEED MUAAMALAT. KE SHAREE AHKAAM 1/259
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
www.aajkasawal.page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment