*PESHAB KE QATRE AANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1070⭕
Mujhe istinjaa karne ke baad peshab ke qatre 5 ya 10 minutes tak aate rehte hain jisse kapde bhi na-paak hote hain aur wuzu bhi toot jaata hai to mujhe paaki ke liye kya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Puchhi huyi surat me kapde ko paak rakhne ke liye aap apni sharmgah ke sire par tissue pepar ka tukda rakh liya karen jo qatre niklenge woh us me jazb -(absorbed) up ho jayenge fir jab qatre na aane ka gaalib guman ho us waqt woh tissue nikalkar fenk do aur dusra aehtiyatan wahin rakh lo isse aap ke kapde na-paak nahin honge aur peshab ke qatre felaw me hatheli ki gehrai ya'ani ek rupiye ke purane bade pital ke sikke ke baqadar ho to muaaf hain aise tissue ya kapde ke saath namaz ho jayegi fir bhi us kam qatrewale tussue ko fenk dena behtar hai
Aap ko 5 ya 10 minutes tak qatre aate rehte hain isliye aap 10 minute ke baad wuzu karen.
📗AHSANUL FATAWA SE MAKHIIZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
http://Www.youtube.com/BayanatPost
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment