*MARNE KE BA'AD KAISE ZINDAH HONGE?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1076⭕
Insan mar ke qabar me jaata hai to gal sad kar mitti ho jata hai ya jal kar raakh ho jata hai to us ko dobarah kaise paida kiya jayega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Yahi sawal Aas ibne wail naami kafir ne Nabi SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ko kiya tha to Allah ta'ala ne Yaasin shareef me farmaya ke
من یحی العظام و ہی رمیم۔ قل یحیھا الذی انشاھا اول مرۃ و ھو بکل خلق علیم
"Aap keh dijiye us ko wohi zaat zindah karegi jis ne us ko pehli martaba paida kiya woh har qism ki paidaish ka khoob ilm rakhnewala hai
📔 (SURAH E YAASIN AAYAT 79)
Allah taala ne dunya ke tamam insan aur haiwan ko mani ke napak qatre se paida kiya jis me se har ek shaklo surat aur aawaz ko alag alag paida kiya matiriyal ek hai lekin prodcsan Alag alag hai.
Jis allah ne pehli martaba aesa bimisal paida kiya woh dusri bhi paida karne par qadir hai
Dusre jaga farmaya
یخرج الحی من المیت و یخرج المیت من الحی و یحی الارض بعد موتھا و کذلک تخرجون
📔 (SURAH E ROOM AYAT 19)
Allah zinde ko (murghi) ko murde (ande) se aur murde (ande) ko zinda (murghi) se nikalta hai aur zameen ko zinda (haribhari) karta hai us ki maut (sukhne) kr baad aur isee tarah tum ko(qabr, zameen, pani..) se (zinda Kar ke) nikala jayega.
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲www.aajkasawal.page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
https://youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment