Wednesday, October 18, 2017

AALAH KI SIFAT

*AALAH KI SIFAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1154⭕

quran aur hadees me aata hai ke Allah ka hath, chehra, per, wagairah, to Allah taala ke insan ki tarah ye aaza hone ka kya matlab hai, Allah taala ki zaat to insan jaisi nahi hai.

🔵JAWAB🔵

Allah Ta’ala Jism Jese ( Hath, Chehra , Pindiliyan Or Ungliyan) Wagerha aaza  aur insani harkat jo Jism me paayi hi jati hai jaise (Khane, Peene, tez Utarna Chadhna aur bethne Wagerha) Se Bhi Paak Hain, Quran Wa Hadees Me Jahan Allah Ta’ala Ki Taraf  A’azaa (Jism) Ya Makhlooq Ki Sifaat  - aadat Ki Nisbat Hai, Wahan Zahiri Ma’ana Bil Ittefaq - sab ke nazdeek Murad Nahi Hain Balke Wo *ALLAH*  Ta’ala Ki Ba’az  Sifaat Ki Ta’abeer - muhaawarah Hain fir *Mutaqaddimeen*  (Yani Purane ulamaa Salafe Saliheen) Ke Nazdeek Wo Sifaat *Mutashabihat* (Yaini aesi baten jin ka haqeeqi Matlab Samajh me Na Aaye un) Me Se Hain Un Ki Haqeeqat Or Murad Ko Siwaye *ALLAH* Ta’ala Ke Koi Nahi Janta, Jabke *Mutakhkhereen* (Yani panchvi sadi ke baad ke ulamaa) Ke Nazdeek Unki Haqeeqat Wa Murad Darja e Zan - guman Me Ma’aloom Hai; Jese Yadullah - Allah ka hath Se Murad Qudrat E Baari Ta’ala Or Utarne Se Murad Rehmat Ka Mutawajjeh Hona.

📗Aqaid Ahle Sunnat Wal Jamaat-Page-11

*Note* Yadd Ka Ma’ana Hath Hota Hai CHoonki Allah Hath Per Se Paak Hai Isiliye Isse Murad Qudrat e Ba’ari Ta’ala Hai.wagairah

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi chishti

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...