PRASAD AUR MITHAI KHANE KA HUKM
AAJ KA SAWAL NO.1155
Gair muslim ke tehwaron par prashad taqsim kiya Jata hai jis me fal (fruits) aur pake pakaye khane bhi hote hain aur yeh mukhtalif buton (murti) ki nazar kar ke taqseem kiye jate hain kabhi mithai ke box bhi dete hai to us ka khana kaisa hai?
AAJ KA JAWAB
Buton-murtiyon ke naam nazar ki hui cheez sharan haraam hai.
Kisi musalman ko Us Ka khana jaiz nahi.
Albattah pack box hai ya aisi mithai hai jise buton par nahi chadhaya hai aur us me naa-paaki nahi milai gai hai to us ko khane ki gunjaish hai
warna nahi
📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL
1/71
FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND 16/72
FATAWA HINDIYAH 5/347
Www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment