*KYA VOTE DENA ZAROOREE HAI?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1165⭕
Kya vote dena zarooree hai?
🔵Jawab🔵
Han Apne Vote ko Istemal Karna Shar’an Zaroori hai:
Is bare me chand galat fahmiyan hai
Pehli Ghalat fehmi to seedhe saade logon me apni Tab’ii sharafat ki wajeh se paida hui hia, us ka manshaa itna bura nahi lekin nataij bhot bure hain, wo ghalat fehmi ye hai keh Aj ki siyasat makr o fareb ka doosra naam banchuki hai, is liye Shareef aadmiyo ko na siyasat me koi hissa lena chahye , na election me khada hona chahye aur na vote daalne ke chakkar me padna chahye.
Ye ghalat fehmi khwah kitni nek niyyati ke sath paida hui ho lekin baharhaal galat aur mulk o millat ke liye sakht muzir-nuqsan deh hai. Majudah daur me me hamari siyasat bila shubah mafaad parast logon ke hathon gandagi ka ek talaab ban chuki hai, lekin jab tak kuch saaf suthre log ise paak karne ke liye aage nahi badhenge us gandagi me izaafa hi hota chala jayega. Aur phir ek na ek din ye najasat khud un ke gharon tak pohanch kar rahegi. Lihaza Aql mandi aur sharafat ka taqaza ye nahi hai ke siyasat ki is gandagi ko door door se bura kaha jata rahe balkeh aqalmandi ka taqaza ye hai ke siyasat ke maidan ko un logon ke hath se cheenne ki koshish ki jaye jo musalsal ise ganda kar rahe hain.
Hazrat Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu se Riwayat hai ke sarware kaunain sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya:
إن الناس إذا رأوا الظالم فلم يأخذوا على يديه، أوشك أن يعمهم الله بعقابٍ)).أبو داود والترمذي
“agar log Zaalim ko dekh kar us ka hath na pakden to kuch baeed nahi ke Allah Ta’ala un sab par apna azaab aam naazil farmayen(Jamul Fawaid safha 51 jild 2: Bahwala Abu Dawood O Tirmizi)
Agar ap khuli aankho dekh rahe hain ke Zulm horaha hai aur intekhabaat-chunaw ki sargarami me hissa le kar us zulm ko kisi na kisi darje me mitana aapki qudrat me hai to is hadees ki ro se ye apka farz hai ke khamoosh baithne ke bajaye Zaalim ka hath pakad kar us ko zulm se rokne ki maqdoor bhar koshish karen.
Bhot deendaar log samajhte hain ke agar Hum vote istemal nahi karenge to is se kya nuqsan hoga? Lekin sunye, ke Sarkar e Do Alam sallallahu alaihi wasallam kya Irshad farmate hain? Hazrat Sohail Bin Haneef razi Allahu anhu se Musnad Ahmad me Riwayat hai ke Aanhazrat sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya:
((من أُذل عنده مؤمن فلم ينصره وهو يقدر على أن ينصره، أذله الله على رءوس الخلائق يوم القيامة)).( جمع الفوائد ج 2 ص10)
“jis shakhs ke samne kisi momin ko zaleel kiya jarahi ho aur wo us ki madad karne par Qudrat rakhne ke bawajood madad na kare to Allah Ta’ala use (Qayamat ke maidan me) Bar sare aalam ruswa karega.”
(intekhabaat me vote ki sharii haisiyat by Hazrat Mufti Taqi Usmani db)
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
Www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost
No comments:
Post a Comment