Wednesday, October 4, 2017

HAAJIYON KA ISTEQBAL KARNA AUR HAJI KI MULAQAT

*HAAJIYON KA ISTEQBAL KARNA AUR HAJI KI MULAQAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1141 ⭕

🅰 Haj karke aane wale hajiyon ke rishtedar, dost airport ya railway station par badi ta'daad me lene jaate hai, haji ke baahar aate hi usey phoolon se laad dete hai, unse galey milte hai, haji sahib bhi haar pehne huwe ek sajee sajaayi gaadi me dulhe ki tarah beth jate hai, galiyon aur mohallon, aur ghar ko bhi khoob sajaya jaata hai, jagah jagah haj Mubarak ke takhte lagaye jate hai, baaz log to mukhtalif naarey bhi lagate hai, Maalum ye karna hai ke in sab baton ki sharaee hesiyat kya hai ? kyaa is tarah ikhlaas barqaraar rahega ?

🅱  Haji ki mulaqat kaise karey ?

🔵JAWAB 🔵

🅰 Hajiyon ka isteqbal achchhi baat hai, lekin ye phool, naarey, wagerah huddod [shariyat ki had] se tajawuz [aagey badhna] hai, agar haaji sahib ko dil me ujb [apne ko achchha ya kuchh samajhna] paida ho jaye to hajj zaye’a [barbad] ho jayega, is liye in chizon se aehtraz karna [bachna] chahiye.

📚Aap ke masail aur unka hal jild-4, safa 161.

🅱 Huzur aqdas صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai ke jab kisi haaji se mulaqat ho to usko salaam karo, aur usse musafaha karo, aur isse pehle ke wo apne ghar me dakhil ho apne liye duaa e magfirat ki usse darkhast karo, ke woh apne gunahon se paak saaf hokar aaya hai.

📚Musnade ahmed, mishqat.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subcaribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...