Tuesday, October 3, 2017

HAAJI KI DUAA KI FAZILAT

*HAAJI KI DUAA KI FAZILAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1139

Haaji se dua karvane ki kya fazilat hai aur haaji ki dua kab tak qubul hoti hai ?

🔵jawab🔵

Ek hadees me aaya hai ke mujahid aur haaji Allah ka wafd, jama'at hai, jo mangte hain woh unko milta hai, jo dua karte hain qabool hoti hai.

Hazrat Umar Rd. Ki Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Zilhajj K Ayyam aur Muharram Va Safar aur *Rabiul Awwal K 10 Din* Tak Qubul Hoti Hai.

📚Musannaf Ibne Abi Shaibah

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua *20 Rabi Ul Awwal* Tak Qubul Hoti Hai.

📚Fazail E Hajj.

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Makkah Muazzamah Me Dakhil Hone Se Ghar Vapsi Tak Qubul Hoti Hai. Aur *Qubuliyat K Mazid 40 Din* Ataa Hote Hain.

📚Kitab Ul Masail Jild / 3

Purane buzurgo ka ma'amul tha ke woh haajiyon ko rukhsat karne bhi jaate the aur un ka istiqbal bhi karte the aur un se dua ki darkhast karte the

و الله اعلم بالصواب

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subcaribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...