Friday, October 20, 2017

GAIRON (NON MUSLIMS) KI KITAB AUR, MAZAAMIN PADHNA

*GAIRON (NON MUSLIMS) KI KITAB AUR, MAZAAMIN PADHNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1156⭕

Gair muslim ki mazhabi kitab unki mazhabi article-lekh padhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

Gair muslim ki koi bhi mazhabi kitab padhna jaiz nahi yahaan tak ke hazrat Moosa alayhis salam par naazil hone wali abhi ki tauraat aur hazrat Isaa alayhis salam par naazil hone wali ab ki injeel tak padhne ki ijazat khud  Nabi e Kareem Salallahu Alayhi Wasallam ne Hazrat Umar radee Allahu anhu jaisi samjhdaar shakhsiyyat jin ki raay par Qur'an ki aayaten naazil huyi thi nahin dee,

Balke hadees me aata hai ke jab woh Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ki maujudgi me taurat padhne lage to Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ka chehrah gusse ke mare aisa surkh-laal ho gaya jaisa ke anaar ke daane nichod diye gaye ho aur woh to padhte ja rahe the Hazrat Abu Bakr radee Allahu anhu ke tawajjuh dilane ke baaf ruke aur Allah aur us ke rasool ke gusse se panah ki dua mangi tab jakar Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ka gussa thanda huwa.

Huzur salallahu alayhi wasallam ne farmaya:-  *Agar Moosa Alayhi Salaam khud bhi maujood hote to unko bhi meri pairawi ke bagair chaara na tha.*

📗(KHULASAH E HADISE MISHKAT)

Kyun ke Qur'an ke alawah koi bhi kitab galatiyon se paak nahin tamaam aasmani kitab me tahreef -chenges ho chuka hai. agar taurat me koi badli huyi galat baat aa jati to Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam ke samne hi Hazrat Umar rd. padh rahe the Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam bataure ustaaz galaty bataa dete, fir bhi Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ko yeh gawarah nahin huva ke Qur'an jaisi har shobe-field me mukammal rahnumai karne wali Allah ki kitab maujood hai aur uska Rasool me khud maujood hun fir dusre mazhab ki kitab ko kiyun dekha!

Aur ummat ko bhi sabaq dena tha ke jab hamare agle nabiyon ki Allah ki bheji huyi  kitab padhne ki bhi ab ijazat nahin to insano ki likhi huyi mahabharat, gita, baibal wagairah gairon ki mazhabi purtiyan-article padhne ki kaise ijazat ho sakti hai.

Hamare pass Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ki lakhon ahaadis bhi aaj tak mahfooz hai us me duniya va aakhirat ki bhalai aur guidance-kaamyabi maujood hai, dusre ki likhi hui mazhabi cheezen jin me ye sifat-fayde nahin use kyun dekhe!

Gair qaum ki mazhabi kitab padhne se imaan kamzor hota hai. imaani aqeedon ke khilaf shaytani waswase paida hote hai yahaan tak ke aadmi ke gumrah hone ka bhi khatrah hai lihaza na khud kisi ki mazhabi kitab - article - lekh padho na apne bachchon ko padhne do. yeh chizen padhna gunah hai.

✏MRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲roman Urdu me masaail dekhne ke liye
www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...