*SAFAR MAHINA MSNHUS HAI ?*
?AAJ KA SAWAL NO.1260⭕
Safar ka mahina shuru ho chuka hai. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ka irshad hai ke:-
*Safar ke mahine me saari Aafate aur Musibate zamin par utarti hai is liye in sab se Hifazat ke liye har Namaaz ke baad 11 martaba "YA BASITU YA HAFIZU" ka wird kare.*
```Kya uparwali baat saheeh hai⁉```
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Islam me koi mahina, koi din, aur koi ghadi manhus nahin aur kisi aafat ka nazil hona kisi mahine ke saath khas nahin aisa aqeedah islami aqeedah nahin. aisa ap-shugun gair qaum leti hai islam me is ki ijazat nahin
*Upar jo hadees paish ki gai hai woh mavzooa (manghdat, jhuthi) hai*
lihaza galat aqeedah ke saath kisi khas wird ka ehtamam bhi durust nahin.
و الله اعلم بالصواب
📗AGLATUL AWAM SAFA 37 SE MAKHOOZ
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi chishti
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment