Sunday, October 22, 2017

TRAIN ME NAMAZ KA TAREEQAH

*TRAIN ME NAMAZ KA TAREEQAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1158⭕

Kya train me namaz padhna ho to qiblah rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zaruri hai?

🔵Jawab🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Train me namaz kisi  bade station jahaan train ziyadah waqt rukti hai wahan station par utar kar namaz padhni chahiye.

Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz waqt makrooh ya qazaa hone ka khatarah ho to train me hee khade ho kar qiblah rukh namaz padhe. poori namaz me akhir tak qiblah rukh hona zaruri hai. jaise jaise train qiblah rukh se ghume namazi ko bhi chahiye ke woh bhi chalu namaz me qiblah ki taraf ghum jaye.

Bhid bahot ziyadah ho jis se qiblah rukh hona mumkin na ho, ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya ziyadag mashaqqat ho to farz namaz bhi baith kar padhne ki gunjaish hai. agar itni bheed hai ke harakat bhi na kar sake to rukua, sajadah ka isharah  kar ke namaz ishare se padhe. aise haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahin.

Lekeen aisi namaz ko qudrat hone par lautana ya qaza karna zaruri hai. padhne ka faidah yeh hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lautane se pehle maut aa gai to is namaz ki puchh na hogi.

Aur ziyadah mashaqqat ya ziyadah bhid na ho to qayam karna aur qiblah rukh hona zaruri hai. mamooli masgaqqat ya mamooli bheed ki wajah se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.

( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala
jadees fiqhee masail 1/128.
fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, ahsanul fatawa 4/88
aur digar kutube fiqhe arabiyyah)

(Fatawa abdul gani safa  208)

Not: baaz train me darwaze paas ziyadah  jagah hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.

Samne se gair muslim log guzarte ho to  bhi namaz ho jayegi. ise uzr na samjhe.

Jaldi ho to qaidah me koi bhi mukhtasar durood padhe. dua e masurah ki jagah koi bhi chhoti dua masalan Allahummag fir lee padh ke salam fer de.

Allah ta'ala ham ko har haal me namaz ka ehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.
Ameen.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi chishti

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...