Friday, October 6, 2017

HAJJ MAQBUL HONE KI ALAMAT

*HAJJ MAQBUL HONE KI ALAMAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1142⭕

Mufti sahab, meri haj qubul ho gayi uski koi alaamat hai ? agar hai to hawale ke saath batane ki guzarish.  

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Ji haan, aap ki haj Allah Rabbul Izzat ki baargaah me maqbul ho gayi uski alamat ye hai ke

hajj ke baad aamale saleha ka eahtemam aur pabandi aur aakhirat ki taraf ragbat badh jaaye, aur pehli haalat se behtar ho jaye,

{mard daadhi na ho to daadhi rakh le, takhno ke upar payjama na pahanta ho to pahanna shuru karey aur aurat parda na karti ho to parda karna shuru karey aur dono sharaee libaas ka eateraam karey}

is liye hajj ke baad apne aamal aur akhlak ka khaas tor se khyal rakhna chahiye aur taa’at aur ibadat me khub koshish karni chahiye, gunaah aur burey akhlak se nafrat aur parhez karna cahiye,

📗muallimul hujjaj safa 337 se 341

Ye baaten paida ho gayi inshaAllah aap ka haj qubul hai.agar nahi hui to paida karne ki puri koshish kare aur haj qabool hone ki duaa karta rahe
Aap hamen aur puri ummat ko apni duaao me yaad farmayen.  

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi chishti

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

Subcaribe Our Channel
Www.youtube.com/Bayanatpost

Download Our App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...