Monday, October 23, 2017

QABZAH KIN CHEEZON ME ZAROOREE

*QABZAH KIN CHEEZON ME ZAROOREE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1259⭕

Qabzah kise kehte hai aur kin cheez me zarooree hai aur kin cheez me zarooree nahi?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Qabzah haqeeqat me kehte hai bechnewale ki milkiyat me se yani us ke pas se maal utha kar ya hatakar apni milkiyat me le lena aur qabze ke liye takhliya yani ikhtiyar de dena bhi kafi hai yani bechnewala khareednewale ko cheez is taur par de de ke woh jab chahe aakar utha sakta hai us ko woh mal wahan se uthane me koi rukawat na ho.
Masalan biki hui cheez us ke samne rakh dee. Ya gadi ya box ki chabi de dee.
Jo cheez apni jaga se uth sakti hai is me qabzah zarooree hai us ko qabze se pehle bechna jaiz nahi
Aur cheez apni jaga se hat nahi sakti masalan makan zameen us me qabza zarooree nahi qabze se pehle bechna jaiz hai.

✏imran ismail memon surat hanfi

📗JADEED MASAIL KE SHAREE AHKAM 2/99 SE MAKHOOZ

Www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...